sitaaron se aage jahaan aur bhi hain | सितारों से आगे जहाँ और भी हैं

  - Allama Iqbal

sitaaron se aage jahaan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain

tahee zindagi se nahin ye fazaayein
yahan saikron kaarwaan aur bhi hain

qanaat na kar aalam-e-rang-o-boo par
chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain

agar kho gaya ik nasheeman to kya gham
maqaamaat-e-aah-o-fughaan aur bhi hain

tu shaheen hai parvaaz hai kaam tera
tire saamne aasmaan aur bhi hain

isee roz o shab mein uljh kar na rah ja
ki tere zamaan o makaan aur bhi hain

gaye din ki tanhaa tha main anjuman mein
yahan ab mere raaz-daan aur bhi hain

सितारों से आगे जहाँ और भी हैं
अभी इश्क़ के इम्तिहाँ और भी हैं

तही ज़िंदगी से नहीं ये फ़ज़ाएँ
यहाँ सैकड़ों कारवाँ और भी हैं

क़नाअत न कर आलम-ए-रंग-ओ-बू पर
चमन और भी आशियाँ और भी हैं

अगर खो गया इक नशेमन तो क्या ग़म
मक़ामात-ए-आह-ओ-फ़ुग़ाँ और भी हैं

तू शाहीं है परवाज़ है काम तेरा
तिरे सामने आसमाँ और भी हैं

इसी रोज़ ओ शब में उलझ कर न रह जा
कि तेरे ज़मान ओ मकाँ और भी हैं

गए दिन कि तन्हा था मैं अंजुमन में
यहाँ अब मिरे राज़-दाँ और भी हैं

  - Allama Iqbal

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Allama Iqbal

As you were reading Shayari by Allama Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Allama Iqbal

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari