naye naye jab ham duniya mein aaye the
thode roye cheekhe aur chillaaye the
dukh to ye hai vo hi hamko samjha nai
jisko ham ne saare raaz bataaye the
pehle kar li ham se ladai baat na kii
ab kahte hain tum hi aag lagaaye the
achha maana saari ghalti meri thi
tum hi kaun sa jaltee aag bujaaye the
socha ik mauqa hi de doon lekin tum
kahaan khabar thi taane dene aaye the
ambar apna katna bilkul laazim tha
pehli baar muhabbat mein jo aaye the
नए नए जब हम दुनिया में आए थे
थोड़े रोए चीखे और चिल्लाए थे
दुख तो ये है वो ही हमको समझा नईं
जिसको हम ने सारे राज़ बताए थे
पहले कर ली हम से लड़ाई बात न की
अब कहते हैं तुम ही आग लगाए थे
अच्छा माना सारी ग़लती मेरी थी
तुम ही कौन सा जलती आग बुझाए थे
सोचा इक मौक़ा ही दे दूँ लेकिन तुम
कहाँ ख़बर थी ताने देने आए थे
' अम्बर' अपना कटना बिलकुल लाज़िम था
पहली बार मुहब्बत में जो आए थे
As you were reading Shayari by Ambar
our suggestion based on Ambar
As you were reading undefined Shayari