roz jo marta hai is ko aadmi likkho kabhi
teergi ke baab mein bhi raushni likkho kabhi
saans lena bhi muqaddar mein nahin jis ahad mein
baith kar us ahad ki bhi an-kahi likkho kabhi
dard-e-dil dard-e-jigar ki dastaan likkhi bahut
naan-e-khushk-o-aab-e-kam ko zindagi likkho kabhi
maslahat par bhi kabhi hote rahe qurbaan usool
in usoolon ko bhi un ki dil-lagi likkho kabhi
gar samete ja rahe ho kaam jo karne ke the
us ko raahat saa'aton ki aagahi likkho kabhi
रोज़ जो मरता है इस को आदमी लिक्खो कभी
तीरगी के बाब में भी रौशनी लिक्खो कभी
साँस लेना भी मुक़द्दर में नहीं जिस अहद में
बैठ कर उस अहद की भी अन-कही लिक्खो कभी
दर्द-ए-दिल दर्द-ए-जिगर की दास्ताँ लिक्खी बहुत
नान-ए-ख़ुश्क-ओ-आब-ए-कम को ज़िंदगी लिक्खो कभी
मस्लहत पर भी कभी होते रहे क़ुर्बां उसूल
इन उसूलों को भी उन की दिल-लगी लिक्खो कभी
गर समेटे जा रहे हो काम जो करने के थे
उस को 'राहत' साअ'तों की आगही लिक्खो कभी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameen Rahat Chugtai
our suggestion based on Ameen Rahat Chugtai
As you were reading Aadmi Shayari Shayari