rudaad-e-jaan kahein jo zara dam mile hamein
us dil ke raaste mein kai kham mile hamein
labbaik pehle ham ne kaha tha rasool-e-husn
ho kaar-zaar-e-ishq to parcham mile hamein
aaye ik aisa zakham jo bharna na ho kabhi
ya'ni har ek zakham ka marham mile hamein
din mein jahaan saraab mile the hamein wahan
aayi jo raat qatra-e-shabnam mile hamein
tum jaise aur log bhi honge jahaan mein
ye baat aur hai ki bahut kam mile hamein
jab saath the to mil ke bhi milna na ho saka
jab se bichhad gaye ho to paiham mile hamein
aur phir hamein bhi khud pe bahut pyaar aa gaya
us ki taraf khade hue jab ham mile hamein
jo umr-bhar ka saath nibhaata na mil saka
vaise to zindagi mein bahut gham mile hamein
रूदाद-ए-जाँ कहें जो ज़रा दम मिले हमें
उस दिल के रास्ते में कई ख़म मिले हमें
लब्बैक पहले हम ने कहा था रसूल-ए-हुस्न
हो कार-ज़ार-ए-इश्क़ तो परचम मिले हमें
आए इक ऐसा ज़ख़्म जो भरना न हो कभी
या'नी हर एक ज़ख़्म का मरहम मिले हमें
दिन में जहाँ सराब मिले थे हमें वहाँ
आई जो रात क़तरा-ए-शबनम मिले हमें
तुम जैसे और लोग भी होंगे जहान में
ये बात और है कि बहुत कम मिले हमें
जब साथ थे तो मिल के भी मिलना न हो सका
जब से बिछड़ गए हो तो पैहम मिले हमें
और फिर हमें भी ख़ुद पे बहुत प्यार आ गया
उस की तरफ़ खड़े हुए जब हम मिले हमें
जो उम्र-भर का साथ निभाता न मिल सका
वैसे तो ज़िंदगी में बहुत ग़म मिले हमें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Imam
our suggestion based on Ameer Imam
As you were reading Hijr Shayari Shayari