ye kisi shakhs ko khone ki talaafi thehra
mera hona mere hone mein izafi thehra
jurm-e-aadam tiri paadaash thi duniya saari
aakhirsh har koi haqdaar-e-mua'fi thehra
ye hai tafseel ki yak-lamha-e-hairat tha koi
mukhtasar ye ki meri umr ko kaafi thehra
kuchh ayaan ho na saka tha tiri aankhon jaisa
vo badan ho ke barhana bhi ghilaafi thehra
jab zameen ghoom rahi ho to theharna kaisa
koi thehra to thehrne ke munaafi thehra
qaafiya milte gaye umr ghazal hoti gai
aur chehra tira buniyaad-e-qawaafi thehra
ये किसी शख़्स को खोने की तलाफ़ी ठहरा
मेरा होना मिरे होने में इज़ाफ़ी ठहरा
जुर्म-ए-आदम तिरी पादाश थी दुनिया सारी
आख़िरश हर कोई हक़दार-ए-मुआ'फ़ी ठहरा
ये है तफ़्सील कि यक-लम्हा-ए-हैरत था कोई
मुख़्तसर ये कि मिरी उम्र को काफ़ी ठहरा
कुछ अयाँ हो न सका था तिरी आँखों जैसा
वो बदन हो के बरहना भी ग़िलाफ़ी ठहरा
जब ज़मीं घूम रही हो तो ठहरना कैसा
कोई ठहरा तो ठहरने के मुनाफ़ी ठहरा
क़ाफ़िया मिलते गए उम्र ग़ज़ल होती गई
और चेहरा तिरा बुनियाद-ए-क़वाफ़ी ठहरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Imam
our suggestion based on Ameer Imam
As you were reading Aawargi Shayari Shayari