dil jo seene mein zaar sa hai kuchh | दिल जो सीने में ज़ार सा है कुछ

  - Ameer Minai

dil jo seene mein zaar sa hai kuchh
gham se be-ikhtiyaar sa hai kuchh

rakht-e-hasti badan pe theek nahin
jaama-e-mustaar sa hai kuchh

chashm-e-nargis kahaan vo chashm kahaan
nashsha kaisa khumaar sa hai kuchh

nakhl-e-ummeed mein na phool na fal
shajar-e-be-bahaar sa hai kuchh

saaqiya hijr mein ye abr nahin
aasmaan par ghubaar sa hai kuchh

kal to aafat thi dil ki betaabi
aaj bhi be-qaraar sa hai kuchh

murda hai dil to gor hai seena
daagh sham-e-mazaar sa hai kuchh

is ko duniya ki us ko khuld ki hirs
rind hai kuchh na paarsa hai kuchh

pehle is se tha hoshiyaar ameer
ab to be-ikhtiyaar sa hai kuchh

दिल जो सीने में ज़ार सा है कुछ
ग़म से बे-इख़्तियार सा है कुछ

रख़्त-ए-हस्ती बदन पे ठीक नहीं
जामा-ए-मुस्तआर सा है कुछ

चश्म-ए-नर्गिस कहाँ वो चश्म कहाँ
नश्शा कैसा ख़ुमार सा है कुछ

नख़्ल-ए-उम्मीद में न फूल न फल
शजर-ए-बे-बहार सा है कुछ

साक़िया हिज्र में ये अब्र नहीं
आसमाँ पर ग़ुबार सा है कुछ

कल तो आफ़त थी दिल की बेताबी
आज भी बे-क़रार सा है कुछ

मुर्दा है दिल तो गोर है सीना
दाग़ शम-ए-मज़ार सा है कुछ

इस को दुनिया की उस को ख़ुल्द की हिर्स
रिंद है कुछ न पारसा है कुछ

पहले इस से था होशियार 'अमीर'
अब तो बे-इख़्तियार सा है कुछ

  - Ameer Minai

Breakup Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ameer Minai

As you were reading Shayari by Ameer Minai

Similar Writers

our suggestion based on Ameer Minai

Similar Moods

As you were reading Breakup Shayari Shayari