kaha jo main ne ki yusuf ko ye hijaab na tha
to hans ke bole vo munh qaabil-e-naqaab na tha
shab-e-visaal bhi vo shokh be-hijaab na tha
naqaab ult ke bhi dekha to be-naqaab na tha
lipt ke choom liya munh mita diya un ka
nahin ka un ke siva is ke kuchh jawaab na tha
mere janaaze pe ab aate sharm aati hai
halaal karne ko baithe the jab hijaab na tha
naseeb jaag uthe so gaye jo paanv mere
tumhaare kooche se behtar maqaam-e-khwaab na tha
gazab kiya ki ise tu ne mohtasib toda
are ye dil tha mera sheesha-e-sharaab na tha
zamaana vasl mein leta hai karvatein kya kya
firaq-e-yaar ke din ek inqilaab na tha
tumheen ne qatl kiya hai mujhe jo tanate ho
akela the malak-ul-maut ham-rikaab na tha
dua-e-toba bhi ham ne padhi to may pee kar
maza hi ham ko kisi shay ka be-sharaab na tha
main roo-e-yaar ka mushtaaq ho ke aaya tha
tire jamaal ka shaida to ai naqaab na tha
bayaan ki jo shab-e-gham ki bekasi to kaha
jigar mein dard na tha dil mein iztiraab na tha
vo baithe baithe jo de baithe qatl-e-aam ka hukm
hasi thi un ki kisi par koi itaab na tha
jo laash bheji thi qaasid ki bhejte khat bhi
raseed vo to mere khat ki thi jawaab na tha
suroor-e-qatl se thi haath paanv ko jumbish
vo mujh pe vajd ka aalam tha iztiraab na tha
sabaat bahr-e-jahaan mein nahin kisi ko ameer
idhar numood hua aur udhar hubaab na tha
कहा जो मैं ने कि यूसुफ़ को ये हिजाब न था
तो हँस के बोले वो मुँह क़ाबिल-ए-नक़ाब न था
शब-ए-विसाल भी वो शोख़ बे-हिजाब न था
नक़ाब उलट के भी देखा तो बे-नक़ाब न था
लिपट के चूम लिया मुँह मिटा दिया उन का
नहीं का उन के सिवा इस के कुछ जवाब न था
मिरे जनाज़े पे अब आते शर्म आती है
हलाल करने को बैठे थे जब हिजाब न था
नसीब जाग उठे सो गए जो पाँव मिरे
तुम्हारे कूचे से बेहतर मक़ाम-ए-ख़्वाब न था
ग़ज़ब किया कि इसे तू ने मोहतसिब तोड़ा
अरे ये दिल था मिरा शीशा-ए-शराब न था
ज़माना वस्ल में लेता है करवटें क्या क्या
फ़िराक़-ए-यार के दिन एक इंक़लाब न था
तुम्हीं ने क़त्ल किया है मुझे जो तनते हो
अकेले थे मलक-उल-मौत हम-रिकाब न था
दुआ-ए-तौबा भी हम ने पढ़ी तो मय पी कर
मज़ा ही हम को किसी शय का बे-शराब न था
मैं रू-ए-यार का मुश्ताक़ हो के आया था
तिरे जमाल का शैदा तो ऐ नक़ाब न था
बयान की जो शब-ए-ग़म की बेकसी तो कहा
जिगर में दर्द न था दिल में इज़्तिराब न था
वो बैठे बैठे जो दे बैठे क़त्ल-ए-आम का हुक्म
हँसी थी उन की किसी पर कोई इताब न था
जो लाश भेजी थी क़ासिद की भेजते ख़त भी
रसीद वो तो मिरे ख़त की थी जवाब न था
सुरूर-ए-क़त्ल से थी हाथ पाँव को जुम्बिश
वो मुझ पे वज्द का आलम था इज़्तिराब न था
सबात बहर-ए-जहाँ में नहीं किसी को 'अमीर'
इधर नुमूद हुआ और उधर हुबाब न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Minai
our suggestion based on Ameer Minai
As you were reading Visaal Shayari Shayari