khauf ban kar ye khayal aata hai akshar mujh ko
dasht kar jaayega ik roz samundar mujh ko
main saraapa hoon khabar-naama-e-imroz-e-jahaan
kal bhula de na ye duniya kahi padh kar mujh ko
har nafs mujh mein taghayyur ki hawaaye larzaan
murtasim kar na saka koi bhi manzar mujh ko
apne saahil pe main khud tishna-dahan baitha hoon
dekh dariya ki taraai se nikal kar mujh ko
mere saaye mein bhi mujh ko nahin rahne dega
mere hi ghar mein rakhega koi be-ghar mujh ko
kaargar koi bhi tadbeer na hone dega
kya muqaddar hai ki le jaayega dar-dar mujh ko
kaam aayegi na bedaar-nigaahi bhi ameer
khwaab kah jaayega ik din mera paikar mujh ko
ख़ौफ़ बन कर ये ख़याल आता है अक्सर मुझ को
दश्त कर जाएगा इक रोज़ समुंदर मुझ को
मैं सरापा हूँ ख़बर-नामा-ए-इमरोज़-ए-जहाँ
कल भुला दे न ये दुनिया कहीं पढ़ कर मुझ को
हर नफ़स मुझ में तग़य्युर की हवाए लर्ज़ां
मुर्तसिम कर न सका कोई भी मंज़र मुझ को
अपने साहिल पे मैं ख़ुद तिश्ना-दहन बैठा हूँ
देख दरिया की तराई से निकल कर मुझ को
मिरे साए में भी मुझ को नहीं रहने देगा
मेरे ही घर में रखेगा कोई बे-घर मुझ को
कारगर कोई भी तदबीर न होने देगा
क्या मुक़द्दर है कि ले जाएगा दर-दर मुझ को
काम आएगी न बेदार-निगाही भी 'अमीर'
ख़्वाब कह जाएगा इक दिन मिरा पैकर मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ameer Qazalbash
our suggestion based on Ameer Qazalbash
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari