na khona aur na paana chahiye tha
mujhe kuchh darmiyaana chahiye tha
mere aage the duniya ke savaalaat
tumhein hi aage aana chahiye tha
mile bebaak jaise kuchh nahin ho
zara sa hichkichana chahiye tha
ghazal main kah chuka tha jab tum aaye
tumhein matle mein aana chahiye tha
samay ke saath bhar jaata hai har zakham
samay se bhag jaana chahiye tha
khatoon ka kya tha bah jaate nadi mein
tumhein to bas bahaana chahiye tha
न खोना और न पाना चाहिए था
मुझे कुछ दरमियाना चाहिए था
मिरे आगे थे दुनिया के सवालात
तुम्हें ही आगे आना चाहिए था
मिले बेबाक जैसे कुछ नहीं हो
ज़रा सा हिचकिचाना चाहिए था
ग़ज़ल मैं कह चुका था जब तुम आए
तुम्हें मतले' में आना चाहिए था
समय के साथ भर जाता है हर ज़ख़्म
समय से भाग जाना चाहिए था
ख़तों का क्या था बह जाते नदी में
तुम्हें तो बस बहाना चाहिए था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amit Bajaj
our suggestion based on Amit Bajaj
As you were reading Nadii Shayari Shayari