kya koi samjhe mere haalaat jab kehta hoon main
ik musalsal raushni ke saaye mein rehta hoon main
jab hawa chalti hai udta hoon mukhalif samt mein
aur jab tham jaaye tab apni taraf bahta hoon main
tere mere lehje ka ye farq kitna saaf hai
tu mujhe kahti hai tu aur main tujhe kehta hoon main
aap se main khush hoon to ye aap par ehsaan hai
ik aziyyat hai khushi bhi hans ke jo sahta hoon main
shaam ke dhalne se pehle main kabhi peeta nahin
ye bhi sach hai dopahar se tishna-lab rehta hoon main
kooza-gar ye sochta hai ye usi ka kaam hai
is saleeqe se kabhi banta kabhi dhahta hoon main
क्या कोई समझे मिरे हालात जब कहता हूँ मैं
इक मुसलसल रौशनी के साए में रहता हूँ मैं
जब हवा चलती है उड़ता हूँ मुख़ालिफ़ सम्त में
और जब थम जाए तब अपनी तरफ़ बहता हूँ मैं
तेरे मेरे लहजे का ये फ़र्क़ कितना साफ़ है
तू मुझे कहती है तू और मैं तुझे कहता हूँ मैं
आप से मैं ख़ुश हूँ तो ये आप पर एहसान है
इक अज़िय्यत है ख़ुशी भी हँस के जो सहता हूँ मैं
शाम के ढलने से पहले मैं कभी पीता नहीं
ये भी सच है दोपहर से तिश्ना-लब रहता हूँ मैं
कूज़ा-गर ये सोचता है ये उसी का काम है
इस सलीक़े से कभी बनता कभी ढहता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amit Bajaj
our suggestion based on Amit Bajaj
As you were reading Ishaara Shayari Shayari