qais bhi ab ye kaam karta hai | क़ैस भी अब ये काम करता है - Amit Gautam

qais bhi ab ye kaam karta hai
jhuk ke hamko salaam karta hai

aashiqi mein jo feel ho jaaye
shaayari subah shaam karta hai

ab jo maahol hai chunaavi sa
har koii raam raam karta hai

paap ka jab ghada bhare to phir
chaar ke chaar dhaam karta hai

mera mehboob hai ya hai dushman
mera jeena haraam karta hai

क़ैस भी अब ये काम करता है
झुक के हमको सलाम करता है

आशिक़ी में जो फ़ेल हो जाए
शाइरी सुब्ह शाम करता है

अब जो माहौल है चुनावी सा
हर कोई राम राम करता है

पाप का जब घड़ा भरे तो फिर
चार के चार धाम करता है

मेरा महबूब है या है दुश्मन
मेरा जीना हराम करता है

- Amit Gautam
1 Like

More by Amit Gautam

As you were reading Shayari by Amit Gautam

Similar Writers

our suggestion based on Amit Gautam

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari