dasht-e-dil mein saraab taaza hain
bujh chuki aankh khwaab taaza hain
daastaan-e-shikast-e-dil hai wahi
ek do chaar baab taaza hain
koi mausam ho dil-gulistaan mein
aarzoo ke gulaab taaza hain
dosti ki zabaan hui matrook
nafratoin ke nisaab taaza hain
aagahi ke hamaari aankhon par
jis qadar hain azaab taaza hain
zakham-dar-zakham dil ke khaate mein
doston ke hisaab taaza hain
sar pe boodhi zameen ke amjad
ab ke ye aftaab taaza hain
दश्त-ए-दिल में सराब ताज़ा हैं
बुझ चुकी आँख ख़्वाब ताज़ा हैं
दास्तान-ए-शिकस्त-ए-दिल है वही
एक दो चार बाब ताज़ा हैं
कोई मौसम हो दिल-गुलिस्ताँ में
आरज़ू के गुलाब ताज़ा हैं
दोस्ती की ज़बाँ हुई मतरूक
नफ़रतों के निसाब ताज़ा हैं
आगही के हमारी आँखों पर
जिस क़दर हैं अज़ाब ताज़ा हैं
ज़ख़्म-दर-ज़ख़्म दिल के खाते में
दोस्तों के हिसाब ताज़ा हैं
सर पे बूढ़ी ज़मीन के 'अमजद'
अब के ये आफ़्ताब ताज़ा हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Urdu Shayari Shayari