sadiyaan jin mein zinda hon vo sach bhi marne lagte hain | सदियाँ जिन में ज़िंदा हों वो सच भी मरने लगते हैं - Amjad Islam Amjad

sadiyaan jin mein zinda hon vo sach bhi marne lagte hain
dhoop aankhon tak aa jaaye to khwaab bikharna lagte hain

insaano ke roop mein jis dam saaye bhatkein sadkon par
khwaabon se dil chehron se aaine darne lagte hain

kya ho jaata hai in hanste jeete jaagte logon ko
baithe baithe kyun ye khud se baatein karne lagte hain

ishq ki apni hi rasmen hain dost ki khaatir haathon mein
jeetne waale patte bhi hon phir bhi harne lagte hain

dekhe hue vo saare manzar naye naye dikhlai den
dhalti umr ki seedhi se jab log utarne lagte hain

bedaari aasaan nahin hai aankhen khulte hi amjad
qadam qadam hum sapnon ke jurmaane bharne lagte hain

सदियाँ जिन में ज़िंदा हों वो सच भी मरने लगते हैं
धूप आँखों तक आ जाए तो ख़्वाब बिखरने लगते हैं

इंसानों के रूप में जिस दम साए भटकें सड़कों पर
ख़्वाबों से दिल चेहरों से आईने डरने लगते हैं

क्या हो जाता है इन हँसते जीते जागते लोगों को
बैठे बैठे क्यूँ ये ख़ुद से बातें करने लगते हैं

इश्क़ की अपनी ही रस्में हैं दोस्त की ख़ातिर हाथों में
जीतने वाले पत्ते भी हों फिर भी हरने लगते हैं

देखे हुए वो सारे मंज़र नए नए दिखलाई दें
ढलती उम्र की सीढ़ी से जब लोग उतरने लगते हैं

बेदारी आसान नहीं है आँखें खुलते ही 'अमजद'
क़दम क़दम हम सपनों के जुर्माने भरने लगते हैं

- Amjad Islam Amjad
0 Likes

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari