jo din tha ek museebat to raat bhari thi
guzaarni thi magar zindagi guzaari thi
savaad-e-shauq mein aise bhi kuchh maqaam aaye
na mujh ko apni khabar thi na kuchh tumhaari thi
larzate haathon se deewaar lipti jaati thi
na pooch kis tarah tasveer vo utaari thi
jo pyaar ham ne kiya tha vo kaarobaar na tha
na tum ne jeeti ye baazi na main ne haari thi
tawaaf karte the us ka bahaar ke manzar
jo dil ki sej pe utri ajab sawaari thi
tumhaara aana bhi achha nahin laga mujh ko
fasuregi si ajab aaj dil pe taari thi
kisi bhi zulm pe koi bhi kuchh na kehta tha
na jaane kaun si jaan thi jo itni pyaari thi
hujoom badhta chala jaata tha sar-e-mahfil
bade rasaan se qaateel ki maskh jaari thi
tamasha dekhne waalon ko kaun batlaata
ki is ke ba'ad inhi mein kisi ki baari thi
vo is tarah tha mere baazuon ke halke mein
na dil ko chain tha amjad na be-qaraari thi
जो दिन था एक मुसीबत तो रात भारी थी
गुज़ारनी थी मगर ज़िंदगी, गुज़ारी थी
सवाद-ए-शौक़ में ऐसे भी कुछ मक़ाम आए
न मुझ को अपनी ख़बर थी न कुछ तुम्हारी थी
लरज़ते हाथों से दीवार लिपटी जाती थी
न पूछ किस तरह तस्वीर वो उतारी थी
जो प्यार हम ने किया था वो कारोबार न था
न तुम ने जीती ये बाज़ी न मैं ने हारी थी
तवाफ़ करते थे उस का बहार के मंज़र
जो दिल की सेज पे उतरी अजब सवारी थी
तुम्हारा आना भी अच्छा नहीं लगा मुझ को
फ़सुर्दगी सी अजब आज दिल पे तारी थी
किसी भी ज़ुल्म पे कोई भी कुछ न कहता था
न जाने कौन सी जाँ थी जो इतनी प्यारी थी
हुजूम बढ़ता चला जाता था सर-ए-महफ़िल
बड़े रसान से क़ातिल की मश्क़ जारी थी
तमाशा देखने वालों को कौन बतलाता
कि इस के बा'द इन्ही में किसी की बारी थी
वो इस तरह था मिरे बाज़ुओं के हल्क़े में
न दिल को चैन था 'अमजद' न बे-क़रारी थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Neend Shayari Shayari