saaye dhalne charaagh jalne lage | साए ढलने चराग़ जलने लगे

  - Amjad Islam Amjad

saaye dhalne charaagh jalne lage
log apne gharo ko chalne lage

itni pur-pech hai bhanwar ki girah
jaise nafrat dilon mein palne lage

door hone lagi jars ki sada
kaarwaan raaste badlne lage

us ke lehje mein barf thi lekin
choo ke dekha to haath jalne lage

us ke band-e-qaba ke jaadu se
saanp se ungliyon mein chalne lage

raah-e-gum-karda taaeron ki tarah
phir sitaare safar pe chalne lage

phir nigaahon mein dhool udti hai
aks phir aaine badlne lage

साए ढलने चराग़ जलने लगे
लोग अपने घरों को चलने लगे

इतनी पुर-पेच है भँवर की गिरह
जैसे नफ़रत दिलों में पलने लगे

दूर होने लगी जरस की सदा
कारवाँ रास्ते बदलने लगे

उस के लहजे में बर्फ़ थी लेकिन
छू के देखा तो हाथ जलने लगे

उस के बंद-ए-क़बा के जादू से
साँप से उँगलियों में चलने लगे

राह-ए-गुम-कर्दा ताएरों की तरह
फिर सितारे सफ़र पे चलने लगे

फिर निगाहों में धूल उड़ती है
अक्स फिर आइने बदलने लगे

  - Amjad Islam Amjad

Dushmani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Dushmani Shayari Shayari