band tha darwaaza bhi aur agar mein bhi tanhaa tha main
vaham tha jaane mera ya aap hi bola tha mein
yaad hai ab tak mujhe vo bad-havaasi ka samaan
tere pehle khat ko ghanton choomta rehta tha main
raaston par teergi ki ye faraavani na thi
is se pehle bhi tumhaare shehar mein aaya tha main
meri ungli par hain ab tak mere daanton ke nishaan
khwaab hi lagta hai phir bhi jis jagah baitha tha main
aaj amjad vaham hai mere liye jis ka vujood
kal usi ka haath thaame ghoomta firta tha main
बंद था दरवाज़ा भी और अगर में भी तन्हा था मैं
वहम था जाने मिरा या आप ही बोला था में
याद है अब तक मुझे वो बद-हवासी का समाँ
तेरे पहले ख़त को घंटों चूमता रहता था मैं
रास्तों पर तीरगी की ये फ़रावानी न थी
इस से पहले भी तुम्हारे शहर में आया था मैं
मेरी उँगली पर हैं अब तक मेरे दाँतों के निशाँ
ख़्वाब ही लगता है फिर भी जिस जगह बैठा था मैं
आज 'अमजद' वहम है मेरे लिए जिस का वजूद
कल उसी का हाथ थामे घूमता फिरता था मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading I Miss you Shayari Shayari