jab bhi us shakhs ko dekha jaaye | जब भी उस शख़्स को देखा जाए - Amjad Islam Amjad

jab bhi us shakhs ko dekha jaaye
kuch kaha jaaye na socha jaaye

deeda-e-kor hai qaryaa qaryaa
aaina kis ko dikhaaya jaaye

daaman-e-ahd-e-wafa kya tha main
dil hi haathon se jo nikla jaaye

dard-mandon se taghaaful kab tak
us ko ehsaas dilaayaa jaaye

kya vo itna hi haseen lagta hai
is ko nazdeek se dekha jaaye

vo kabhi sur hai kabhi rang amjad
us ko kis naam se dhoonda jaaye

जब भी उस शख़्स को देखा जाए
कुछ कहा जाए न सोचा जाए

दीदा-ए-कोर है क़र्या क़र्या
आइना किस को दिखाया जाए

दामन-ए-अहद-ए-वफ़ा क्या था मैं
दिल ही हाथों से जो निकला जाए

दर्द-मंदों से तग़ाफ़ुल कब तक
उस को एहसास दिलाया जाए

क्या वो इतना ही हसीं लगता है
इस को नज़दीक से देखा जाए

वो कभी सुर है कभी रंग 'अमजद'
उस को किस नाम से ढूँडा जाए

- Amjad Islam Amjad
1 Like

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari