zindagi dard bhi dava bhi thi | ज़िंदगी दर्द भी दवा भी थी

  - Amjad Islam Amjad

zindagi dard bhi dava bhi thi
hum-safar bhi gurez-paa bhi thi

kuchh to the dost bhi wafa-dushman
kuchh meri aankh mein haya bhi thi

din ka apna bhi shor tha lekin
shab ki awaaz be-sada bhi thi

ishq ne ham ko ghaib-daan kiya
yahi tohfa yahi saza bhi thi

gard-baad-e-wafa se pehle tak
sar pe khema bhi tha rida bhi thi

maa ki aankhen charaagh theen jis mein
mere ham-raah vo dua bhi thi

kuchh to thi raahguzaar mein sham-e-talb
aur kuchh tez vo hawa bhi thi

bewafa to vo khair tha amjad
lekin us mein kahi wafa bhi thi

ज़िंदगी दर्द भी दवा भी थी
हम-सफ़र भी गुरेज़-पा भी थी

कुछ तो थे दोस्त भी वफ़ा-दुश्मन
कुछ मिरी आँख में हया भी थी

दिन का अपना भी शोर था लेकिन
शब की आवाज़ बे-सदा भी थी

इश्क़ ने हम को ग़ैब-दान किया
यही तोहफ़ा यही सज़ा भी थी

गर्द-बाद-ए-वफ़ा से पहले तक
सर पे ख़ेमा भी था रिदा भी थी

माँ की आँखें चराग़ थीं जिस में
मेरे हम-राह वो दुआ भी थी

कुछ तो थी रहगुज़र में शम्-ए-तलब
और कुछ तेज़ वो हवा भी थी

बेवफ़ा तो वो ख़ैर था 'अमजद'
लेकिन उस में कहीं वफ़ा भी थी

  - Amjad Islam Amjad

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari