auron ka tha bayaan to mauj sada rahe
khud umr bhar aseer-e-lab-e-muddaa rahe
misl-e-habaab behr-e-gham-e-haadsaat mein
ham zer-e-baar-e-minnat-e-aab-o-hawaa rahe
ham us se apni baat ka maange agar jawaab
lehron ka pech-o-kham vo khada dekhta rahe
aaya to apni aankh bhi apni na ban saki
ham sochte the us se kabhi saamna rahe
gulshan mein the to rounaq-e-rang-e-chaman bane
jungle mein ham amanat-e-baad-e-saba rahe
surkhi bane to khun-e-shaheedaan ka rang the
raushan hue to mash'al-e-raah-e-baqa rahe
amjad dar-e-nigaar pe dastak hi deejie
is be-karaan sukoot mein kuchh ghalghala rahe
औरों का था बयान तो मौज सदा रहे
ख़ुद उम्र भर असीर-ए-लब-ए-मुद्दआ' रहे
मिस्ल-ए-हबाब बहर-ए-ग़म-ए-हादसात में
हम ज़ेर-ए-बार-ए-मिन्नत-ए-आब-ओ-हवा रहे
हम उस से अपनी बात का माँगें अगर जवाब
लहरों का पेच-ओ-ख़म वो खड़ा देखता रहे
आया तो अपनी आँख भी अपनी न बन सकी
हम सोचते थे उस से कभी सामना रहे
गुलशन में थे तो रौनक़-ए-रंग-ए-चमन बने
जंगल में हम अमानत-ए-बाद-ए-सबा रहे
सुर्ख़ी बने तो ख़ून-ए-शहीदाँ का रंग थे
रौशन हुए तो मशअ'ल-ए-राह-ए-बक़ा रहे
'अमजद' दर-ए-निगार पे दस्तक ही दीजिए
इस बे-कराँ सुकूत में कुछ ग़लग़ला रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Aahat Shayari Shayari