ek aazaar hui jaati hai shohrat ham ko | एक आज़ार हुई जाती है शोहरत हम को

  - Amjad Islam Amjad

ek aazaar hui jaati hai shohrat ham ko
khud se milne ki bhi milti nahin furqat ham ko

raushni ka ye musaafir hai rah-e-jaan ka nahin
apne saaye se bhi hone lagi vehshat ham ko

aankh ab kis se tahayyur ka tamasha maange
apne hone pe bhi hoti nahin hairat ham ko

ab ke ummeed ke shole se bhi aankhen na jali
jaane kis mod pe le aayi mohabbat ham ko

kaun si rut hai zamaane mein hamein kya maaloom
apne daaman mein liye phirti hai hasrat ham ko

zakham ye vasl ke marham se bhi shaayad na bhare
hijr mein aisi mili ab ke masafat ham ko

daagh-e-ishaan to kisi taur na chhupte amjad
dhanp leti na agar chaadar-e-rahmat ham ko

एक आज़ार हुई जाती है शोहरत हम को
ख़ुद से मिलने की भी मिलती नहीं फ़ुर्सत हम को

रौशनी का ये मुसाफ़िर है रह-ए-जाँ का नहीं
अपने साए से भी होने लगी वहशत हम को

आँख अब किस से तहय्युर का तमाशा माँगे
अपने होने पे भी होती नहीं हैरत हम को

अब के उम्मीद के शोले से भी आँखें न जलीं
जाने किस मोड़ पे ले आई मोहब्बत हम को

कौन सी रुत है ज़माने में हमें क्या मालूम
अपने दामन में लिए फिरती है हसरत हम को

ज़ख़्म ये वस्ल के मरहम से भी शायद न भरे
हिज्र में ऐसी मिली अब के मसाफ़त हम को

दाग़-ए-इस्याँ तो किसी तौर न छुपते 'अमजद'
ढाँप लेती न अगर चादर-ए-रहमत हम को

  - Amjad Islam Amjad

Mulaqat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Mulaqat Shayari Shayari