tumhaara haath jab mere larzate haath se chhoota khizaan ke aakhiri din the | तुम्हारा हाथ जब मेरे लरज़ते हाथ से छूटा ख़िज़ाँ के आख़िरी दिन थे

  - Amjad Islam Amjad

tumhaara haath jab mere larzate haath se chhoota khizaan ke aakhiri din the
vo mohkam be-lachak wa'da khilone ki tarah toota khizaan ke aakhiri din the

bahaar aayi na thi lekin hawaon mein naye mausam ki khushboo raqs karti thi
achaanak jab kaha tum ne mere munh par mujhe jhoota khizaan ke aakhiri din the

vo kya din the yahin ham ne bahaaron ki dua ki thi kisi ne bhi nahin socha
chaman waalon ne mil kar jab khud apna hi chaman lootaa khizaan ke aakhiri din the

likha tha ek takhti par koi bhi phool mat tode magar aandhi to an-padh thi
so jab vo baagh se guzri koi ukhadta koi toota khizaan ke aakhiri din the

bahut hi zor se peete hawa ke bein par seene hamaare khair-khwaaho ne
ki chaandi ke varq jaisa samay ne jab hamein koota khizaan ke aakhiri din the

na rut thi aandhiyon ki ye na mausam tha hawaon ka to phir ye kya hua amjad
har ik konpal hui zakhmi hua majrooh har boota khizaan ke aakhiri din the

तुम्हारा हाथ जब मेरे लरज़ते हाथ से छूटा ख़िज़ाँ के आख़िरी दिन थे
वो मोहकम बे-लचक वा'दा खिलौने की तरह टूटा ख़िज़ाँ के आख़िरी दिन थे

बहार आई न थी लेकिन हवाओं में नए मौसम की ख़ुश्बू रक़्स करती थी
अचानक जब कहा तुम ने मिरे मुँह पर मुझे झूटा ख़िज़ाँ के आख़िरी दिन थे

वो क्या दिन थे यहीं हम ने बहारों की दुआ की थी किसी ने भी नहीं सोचा
चमन वालों ने मिल कर जब ख़ुद अपना ही चमन लूटा ख़िज़ाँ के आख़िरी दिन थे

लिखा था एक तख़्ती पर कोई भी फूल मत तोड़े मगर आँधी तो अन-पढ़ थी
सो जब वो बाग़ से गुज़री कोई उखड़ा कोई टूटा ख़िज़ाँ के आख़िरी दिन थे

बहुत ही ज़ोर से पीटे हवा के बैन पर सीने हमारे ख़ैर-ख़्वाहों ने
कि चाँदी के वरक़ जैसा समय ने जब हमें कूटा ख़िज़ाँ के आख़िरी दिन थे

न रुत थी आँधियों की ये न मौसम था हवाओं का तो फिर ये क्या हुआ 'अमजद'
हर इक कोंपल हुई ज़ख़्मी हुआ मजरूह हर बूटा ख़िज़ाँ के आख़िरी दिन थे

  - Amjad Islam Amjad

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari