lahu mein tairte firte malaal se kuchh hain
kabhi suno to dilon mein sawaal se kuchh hain
main khud bhi doob raha hoon har ik sitaare mein
ki ye charaagh mere hasb-e-haal se kuchh hain
gham-e-firaq se ik pal nazar nahin hatti
is aaine mein tire khadd-o-khaal se kuchh hain
ik aur mauj ki ai sail-e-ishtibaah abhi
hamaari kisht-e-yaqeen mein khayal se kuchh hain
tire firaq ki sadiyaan tire visaal ke pal
shumaar-e-umr mein ye maah o saal se kuchh hain
लहू में तैरते फिरते मलाल से कुछ हैं
कभी सुनो तो दिलों में सवाल से कुछ हैं
मैं ख़ुद भी डूब रहा हूँ हर इक सितारे में
कि ये चराग़ मिरे हस्ब-ए-हाल से कुछ हैं
ग़म-ए-फ़िराक़ से इक पल नज़र नहीं हटती
इस आइने में तिरे ख़द्द-ओ-ख़ाल से कुछ हैं
इक और मौज कि ऐ सैल-ए-इश्तिबाह अभी
हमारी किश्त-ए-यक़ीं में ख़याल से कुछ हैं
तिरे फ़िराक़ की सदियाँ तिरे विसाल के पल
शुमार-ए-उम्र में ये माह ओ साल से कुछ हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Judai Shayari Shayari