kaan laga kar sunti raatein baatein karte din
kahaan gaeein vo achhi raatein baatein karte din
ek hi manzar shehar pe apne kab se thehra hai
kuchh soi kuchh jaagi raatein baatein karte din
deewaanon ke khwaab ki soorat an-mil aur bejod
apne aap se ladti raatein baatein karte din
jaane kab ye mel karenge ek-dooge ke saath
khaamoshi mein doobi raatein baatein karte din
tanhaai ke khauf ki dekho kya kya shaklein hain
sannaate mein lipti raatein baatein karte din
amjad apne saath rahenge kab tak raston mein
gahri soch mein uljhi raatein baatein karte din
कान लगा कर सुनती रातें बातें करते दिन
कहाँ गईं वो अच्छी रातें बातें करते दिन
एक ही मंज़र शहर पे अपने कब से ठहरा है
कुछ सोई कुछ जागी रातें बातें करते दिन
दीवानों के ख़्वाब की सूरत अन-मिल और बेजोड़
अपने आप से लड़ती रातें बातें करते दिन
जाने कब ये मेल करेंगे एक-दूजे के साथ
ख़ामोशी में डूबी रातें बातें करते दिन
तन्हाई के ख़ौफ़ की देखो क्या क्या शक्लें हैं
सन्नाटे में लिपटी रातें बातें करते दिन
'अमजद' अपने साथ रहेंगे कब तक रस्तों में
गहरी सोच में उलझी रातें बातें करते दिन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Nazara Shayari Shayari