raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin | रात मैं इस कश्मकश में एक पल सोया नहीं - Amjad Islam Amjad

raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin
kal main jab jaane laga to us ne kyun roka nahin

yun agar sochun to ik ik naqsh hai seene pe naqsh
haaye vo chehra ki phir bhi aankh mein banta nahin

kyun udaati phir rahi hai dar-b-dar mujh ko hawa
main agar ik shaakh se toota hua patta nahin

aaj tanhaa hoon to kitna ajnabi maahol hai
ek bhi raaste ne tere shehar mein roka nahin

harf barg-e-khushk ban kar tootte girte rahe
guncha-e-arz-e-tamanna hont par foota nahin

dard ka rasta hai ya hai saa'at-e-roz-e-hisaab
saikron logon ko roka ek bhi thehra nahin

shabnami aankhon ke jugnoo kaanpate honton ke phool
ek lamha tha jo amjad aaj tak guzra nahin

रात मैं इस कश्मकश में एक पल सोया नहीं
कल मैं जब जाने लगा तो उस ने क्यूँ रोका नहीं

यूँ अगर सोचूँ तो इक इक नक़्श है सीने पे नक़्श
हाए वो चेहरा कि फिर भी आँख में बनता नहीं

क्यूँ उड़ाती फिर रही है दर-ब-दर मुझ को हवा
मैं अगर इक शाख़ से टूटा हुआ पत्ता नहीं

आज तन्हा हूँ तो कितना अजनबी माहौल है
एक भी रस्ते ने तेरे शहर में रोका नहीं

हर्फ़ बर्ग-ए-ख़ुश्क बन कर टूटते गिरते रहे
ग़ुंचा-ए-अर्ज़-ए-तमन्ना होंट पर फूटा नहीं

दर्द का रस्ता है या है साअ'त-ए-रोज़-ए-हिसाब
सैकड़ों लोगों को रोका एक भी ठहरा नहीं

शबनमी आँखों के जुगनू काँपते होंटों के फूल
एक लम्हा था जो 'अमजद' आज तक गुज़रा नहीं

- Amjad Islam Amjad
0 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari