zindagaani jaavedaani bhi nahin | ज़िंदगानी जावेदानी भी नहीं

  - Amjad Islam Amjad

zindagaani jaavedaani bhi nahin
lekin is ka koi saani bhi nahin

hai sawa-neze pe suraj ka alam
tere gham ki saaebaani bhi nahin

manzilen hi manzilen hain har taraf
raaste ki ik nishaani bhi nahin

aaine ki aankh mein ab ke baras
koi aks-e-meharbaani bhi nahin

aankh bhi apni saraab-aalood hai
aur is dariya mein paani bhi nahin

juz tahayyur gard-baad-e-zeest mein
koi manzar ghair-faani bhi nahin

dard ko dilkash banaayein kis tarah
dastaan-e-gham kahaani bhi nahin

yun luta hai gulshan-e-vahm-o-gumaan
koi khaar-e-bad-gumaani bhi nahin

ज़िंदगानी जावेदानी भी नहीं
लेकिन इस का कोई सानी भी नहीं

है सवा-नेज़े पे सूरज का अलम
तेरे ग़म की साएबानी भी नहीं

मंज़िलें ही मंज़िलें हैं हर तरफ़
रास्ते की इक निशानी भी नहीं

आइने की आँख में अब के बरस
कोई अक्स-ए-मेहरबानी भी नहीं

आँख भी अपनी सराब-आलूद है
और इस दरिया में पानी भी नहीं

जुज़ तहय्युर गर्द-बाद-ए-ज़ीस्त में
कोई मंज़र ग़ैर-फ़ानी भी नहीं

दर्द को दिलकश बनाएँ किस तरह
दास्तान-ए-ग़म कहानी भी नहीं

यूँ लुटा है गुलशन-ए-वहम-ओ-गुमाँ
कोई ख़ार-ए-बद-गुमानी भी नहीं

  - Amjad Islam Amjad

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari