saikdon hi rehnuma hain raasta koi nahin | सैंकड़ों ही रहनुमा हैं रास्ता कोई नहीं

  - Amjad Islam Amjad

saikdon hi rehnuma hain raasta koi nahin
aaine chaaron taraf hain dekhta koi nahin

sab ke sab hain apne apne daayere ki qaid mein
daayron ki had se baahar sochta koi nahin

sirf maatam aur zaari se hi jis ka hal mile
is tarah ka to kahi bhi mas'ala koi nahin

ye jo saaye se bhatkte hain hamaare ird-gird
choo ke un ko dekhiye to waahima koi nahin

jo hua ye darj tha pehle hi apne bakht mein
is ka matlab to hua ki bewafa koi nahin

tere raaste mein khade hain sirf tujh ko dekhne
muddaa poocho to apna muddaa koi nahin

kun-fakaan ke bhed se maula mujhe aagaah kar
kaun hoon main gar yahan par doosra koi nahin

waqt aisa hum-safar hai jis ki manzil hai alag
vo saraaye hai ki jis mein theharta koi nahin

gahe gahe hi sahi amjad magar ye waqia
yun bhi lagta hai ki duniya ka khuda koi nahin

सैंकड़ों ही रहनुमा हैं रास्ता कोई नहीं
आइने चारों तरफ़ हैं देखता कोई नहीं

सब के सब हैं अपने अपने दाएरे की क़ैद में
दाएरों की हद से बाहर सोचता कोई नहीं

सिर्फ़ मातम और ज़ारी से ही जिस का हल मिले
इस तरह का तो कहीं भी मसअला कोई नहीं

ये जो साए से भटकते हैं हमारे इर्द-गिर्द
छू के उन को देखिए तो वाहिमा कोई नहीं

जो हुआ ये दर्ज था पहले ही अपने बख़्त में
इस का मतलब तो हुआ कि बेवफ़ा कोई नहीं

तेरे रस्ते में खड़े हैं सिर्फ़ तुझ को देखने
मुद्दआ' पूछो तो अपना मुद्दआ' कोई नहीं

कुन-फ़काँ के भेद से मौला मुझे आगाह कर
कौन हूँ मैं गर यहाँ पर दूसरा कोई नहीं

वक़्त ऐसा हम-सफ़र है जिस की मंज़िल है अलग
वो सराए है कि जिस में ठहरता कोई नहीं

गाहे गाहे ही सही 'अमजद' मगर ये वाक़िआ'
यूँ भी लगता है कि दुनिया का ख़ुदा कोई नहीं

  - Amjad Islam Amjad

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari