aankhon se ik khwaab guzarne waala hai
khidki se mahtaab guzarne waala hai
sadiyon ke in khwaab-gazeeda shehron se
mehr-e-aalam-taab guzarne waala hai
farmaish ki qaid mein the jab shehzaade
qisse ka vo baab guzarne waala hai
sannaate ki dahshat badhti jaati hai
basti se sailaab guzarne waala hai
daryaon mein ret udegi sehra ki
sehra se girdaab guzarne waala hai
maula jaane kab dekhenge aankhon se
jo mausam shaadaab guzarne waala hai
hasti amjad deewane ka khwaab sahi
ab to ye bhi khwaab guzarne waala hai
आँखों से इक ख़्वाब गुज़रने वाला है
खिड़की से महताब गुज़रने वाला है
सदियों के इन ख़्वाब-गज़ीदा शहरों से
महर-ए-आलम-ताब गुज़रने वाला है
जादूगर की क़ैद में थे जब शहज़ादे
क़िस्से का वो बाब गुज़रने वाला है
सन्नाटे की दहशत बढ़ती जाती है
बस्ती से सैलाब गुज़रने वाला है
दरियाओं में रेत उड़ेगी सहरा की
सहरा से गिर्दाब गुज़रने वाला है
मौला जाने कब देखेंगे आँखों से
जो मौसम शादाब गुज़रने वाला है
हस्ती 'अमजद' दीवाने का ख़्वाब सही
अब तो ये भी ख़्वाब गुज़रने वाला है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Shahr Shayari Shayari