ye aur baat hai tujh se gila nahin karte | ये और बात है तुझ से गिला नहीं करते - Amjad Islam Amjad

ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
jo zakham tu ne diye hain bhara nahin karte

hazaar jaal liye ghoomti phire duniya
tire aseer kisi ke hua nahin karte

ye aainon ki tarah dekh-bhaal chahte hain
ki dil bhi tooten to phir se juda nahin karte

wafa ki aanch sukhun ka tapaak do in ko
dilon ke chaak rafu se sila nahin karte

jahaan ho pyaar galat-fahmiyaan bhi hoti hain
so baat baat pe yun dil bura nahin karte

humein hamaari anaayein tabaah kar denge
mukaalme ka agar silsila nahin karte

jo hum pe guzri hai jaanaan vo tum pe bhi guzre
jo dil bhi chahe to aisi dua nahin karte

har ik dua ke muqaddar mein kab huzoori hai
tamaam gunche to amjad khila nahin karte

ये और बात है तुझ से गिला नहीं करते
जो ज़ख़्म तू ने दिए हैं भरा नहीं करते

हज़ार जाल लिए घूमती फिरे दुनिया
तिरे असीर किसी के हुआ नहीं करते

ये आइनों की तरह देख-भाल चाहते हैं
कि दिल भी टूटें तो फिर से जुड़ा नहीं करते

वफ़ा की आँच सुख़न का तपाक दो इन को
दिलों के चाक रफ़ू से सिला नहीं करते

जहाँ हो प्यार ग़लत-फ़हमियाँ भी होती हैं
सो बात बात पे यूँ दिल बुरा नहीं करते

हमें हमारी अनाएँ तबाह कर देंगी
मुकालमे का अगर सिलसिला नहीं करते

जो हम पे गुज़री है जानाँ वो तुम पे भी गुज़रे
जो दिल भी चाहे तो ऐसी दुआ नहीं करते

हर इक दुआ के मुक़द्दर में कब हुज़ूरी है
तमाम ग़ुंचे तो 'अमजद' खिला नहीं करते

- Amjad Islam Amjad
2 Likes

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari