parde mein laakh phir bhi numoodaar kaun hai | पर्दे में लाख फिर भी नुमूदार कौन है - Amjad Islam Amjad

parde mein laakh phir bhi numoodaar kaun hai
hai jis ke dam se garmi-e-baazaar kaun hai

vo saamne hai phir bhi dikhaai na de sake
mere aur us ke beech ye deewaar kaun hai

baagh-e-wafaa mein ho nahin saka ye faisla
sayyaad yaa pe kaun girftaar kaun hai

maana nazar ke saamne hai be-shumaar dhund
hai dekhna ki dhund ke is paar kaun hai

kuchh bhi nahin hai paas pe rehta hai phir bhi khush
sab kuchh hai jis ke paas vo bezaar kaun hai

yun to dikhaai dete hain asraar har taraf
khulta nahin ki saahib-e-asraar kaun hai

amjad alag si aap ne khuli hai jo dukaaan
jins-e-hunar ka yaa ye khareedaar kaun hai

पर्दे में लाख फिर भी नुमूदार कौन है
है जिस के दम से गर्मी-ए-बाज़ार कौन है

वो सामने है फिर भी दिखाई न दे सके
मेरे और उस के बीच ये दीवार कौन है

बाग़-ए-वफ़ा में हो नहीं सकता ये फ़ैसला
सय्याद याँ पे कौन गिरफ़्तार कौन है

माना नज़र के सामने है बे-शुमार धुँद
है देखना कि धुँद के इस पार कौन है

कुछ भी नहीं है पास पे रहता है फिर भी ख़ुश
सब कुछ है जिस के पास वो बेज़ार कौन है

यूँ तो दिखाई देते हैं असरार हर तरफ़
खुलता नहीं कि साहिब-ए-असरार कौन है

'अमजद' अलग सी आप ने खोली है जो दुकाँ
जिंस-ए-हुनर का याँ ये ख़रीदार कौन है

- Amjad Islam Amjad
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari