lahu mein rang lehraane lage hain
zamaane khud ko dohraane lage hain
paron mein le ke be-haasil udaanen
parinde laut kar aane lage hain
kahaan hai qaafila baad-e-saba ka
dilon ke phool murjhaane lage hain
khule jo ham-nasheeno ke garebaan
khud apne zakham afsaane lage hain
kuchh aisa dard tha baang-e-jaras mein
safar se qibl pachtaane lage hain
kuchh aisi be-yaqeeni thi fazaa mein
jo apne the vo begaane lage hain
hawa ka rang neela ho raha hai
chaman mein saanp lehraane lage hain
falak ke khet mein khilte sitaare
zameen par aag barsaane lage hain
lab-e-zanjeer hai ta'beer jin ki
vo sapne phir nazar aane lage hain
khula hai raat ka tareek jungle
aur andhe raah dikhlane lage hain
chaman ki baar thi jin ka thikaana
dil shabnam ko dhadkaane lage hain
bachaane aaye the deewaar lekin
imarat hi ko ab dhaane lage hain
khuda ka ghar tumheen samjho to samjho
hamein to ye sanam-khaane lage hain
लहू में रंग लहराने लगे हैं
ज़माने ख़ुद को दोहराने लगे हैं
परों में ले के बे-हासिल उड़ानें
परिंदे लौट कर आने लगे हैं
कहाँ है क़ाफ़िला बाद-ए-सबा का
दिलों के फूल मुरझाने लगे हैं
खुले जो हम-नशीनों के गरेबाँ
ख़ुद अपने ज़ख़्म अफ़्साने लगे हैं
कुछ ऐसा दर्द था बाँग-ए-जरस में
सफ़र से क़ब्ल पछताने लगे हैं
कुछ ऐसी बे-यक़ीनी थी फ़ज़ा में
जो अपने थे वो बेगाने लगे हैं
हवा का रंग नीला हो रहा है
चमन में साँप लहराने लगे हैं
फ़लक के खेत में खिलते सितारे
ज़मीं पर आग बरसाने लगे हैं
लब-ए-ज़ंजीर है ता'बीर जिन की
वो सपने फिर नज़र आने लगे हैं
खुला है रात का तारीक जंगल
और अंधे राह दिखलाने लगे हैं
चमन की बाड़ थी जिन का ठिकाना
दिल शबनम को धड़काने लगे हैं
बचाने आए थे दीवार लेकिन
इमारत ही को अब ढाने लगे हैं
ख़ुदा का घर तुम्हीं समझो तो समझो
हमें तो ये सनम-ख़ाने लगे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Gulshan Shayari Shayari