kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar | कमाल-ए-हुस्न है हुस्न-ए-कमाल से बाहर

  - Amjad Islam Amjad

kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar
azal ka rang hai jaise misaal se baahar

to phir vo kaun hai jo maavra hai har shay se
nahin hai kuchh bhi yahan gar khayal se baahar

ye kaayenaat saraapa jawaab hai jis ka
vo ik sawaal hai phir bhi sawaal se baahar

hai yaad ahl-e-watan yun ki reg-e-saahil par
giri hui koi machhli ho jaal se baahar

ajeeb silsila-e-rang hai tamannaa bhi
had-e-urooj se aage zawaal hai baahar

na us ka ant hai koi na isti'aara hai
ye daastaan hai hijr-o-visaal se baahar

dua buzurgon ki rakhti hai zakham ulfat ko
kisi ilaaj kisi indimaal se baahar

bayaan ho kis tarah vo kaifiyat ki hai amjad
meri talab se faraawan majaal se baahar

कमाल-ए-हुस्न है हुस्न-ए-कमाल से बाहर
अज़ल का रंग है जैसे मिसाल से बाहर

तो फिर वो कौन है जो मावरा है हर शय से
नहीं है कुछ भी यहाँ गर ख़याल से बाहर

ये काएनात सरापा जवाब है जिस का
वो इक सवाल है फिर भी सवाल से बाहर

है याद अहल-ए-वतन यूँ कि रेग-ए-साहिल पर
गिरी हुई कोई मछली हो जाल से बाहर

अजीब सिलसिला-ए-रंग है तमन्ना भी
हद-ए-उरूज से आगे ज़वाल है बाहर

न उस का अंत है कोई न इस्तिआ'रा है
ये दास्तान है हिज्र-ओ-विसाल से बाहर

दुआ बुज़ुर्गों की रखती है ज़ख़्म उल्फ़त को
किसी इलाज किसी इंदिमाल से बाहर

बयाँ हो किस तरह वो कैफ़ियत कि है 'अमजद'
मिरी तलब से फ़रावाँ मजाल से बाहर

  - Amjad Islam Amjad

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari