hawa hi lau ko ghataati wahi badhaati hai
ye kis gumaan mein duniya diye jalaati hai
bhatkne waalon ko kya farq is se padta hai
safar mein kaun sadak kis taraf ko jaati hai
ajeeb khauf ka gumbad hai mere chaar-taraf
meri sada mere kaanon mein laut aati hai
vo jis bhi raah se guzre jahaan qayaam kare
zameen wahan ki sitaaron se bharti jaati hai
ye zindagi bhi kahi ho na shehrezaad ka roop
shabaana roz kahaani nayi sunaati hai
हवा ही लौ को घटाती वही बढ़ाती है
ये किस गुमान में दुनिया दिए जलाती है
भटकने वालों को क्या फ़र्क़ इस से पड़ता है
सफ़र में कौन सड़क किस तरफ़ को जाती है
अजीब ख़ौफ़ का गुम्बद है मेरे चार-तरफ़
मिरी सदा मिरे कानों में लौट आती है
वो जिस भी राह से गुज़रे जहाँ क़याम करे
ज़मीं वहाँ की सितारों से भरती जाती है
ये ज़िंदगी भी कहीं हो न शहरज़ाद का रूप
शबाना रोज़ कहानी नई सुनाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Musafir Shayari Shayari