dar-e-kaayenaat jo vaa kare usi aagahi ki talash hai
mujhe raushni ki talash thi mujhe raushni ki talash hai
gham-e-zindagi ke fishaar mein tiri aarzoo ke ghubaar mein
isee be-hisi ke hisaar mein mujhe zindagi ki talash hai
ye jo sarsari si nashaat hai ye to chand lamhon ki baat hai
meri rooh tak jo utar sake mujhe us khushi ki talash hai
ye jo aag si hai dabii dabii nahin dosto mere kaam ki
vo jo ek aan mein phoonk de usi sholagi ki talash hai
ye jo saakhta se hain qahqahe mere dil ko lagte hain bojh se
vo jo apne aap mein mast ho mujhe us hasi ki talash hai
ye jo mel-jol ki baat hai ye jo majlisi si hayaat hai
mujhe is se koi garz nahin mujhe dosti ki talash hai
दर-ए-काएनात जो वा करे उसी आगही की तलाश है
मुझे रौशनी की तलाश थी मुझे रौशनी की तलाश है
ग़म-ए-ज़िंदगी के फ़िशार में तिरी आरज़ू के ग़ुबार में
इसी बे-हिसी के हिसार में मुझे ज़िंदगी की तलाश है
ये जो सरसरी सी नशात है ये तो चंद लम्हों की बात है
मिरी रूह तक जो उतर सके मुझे उस ख़ुशी की तलाश है
ये जो आग सी है दबी दबी नहीं दोस्तो मिरे काम की
वो जो एक आन में फूँक दे उसी शोलगी की तलाश है
ये जो साख़्ता से हैं क़हक़हे मिरे दिल को लगते हैं बोझ से
वो जो अपने आप में मस्त हो मुझे उस हँसी की तलाश है
ये जो मेल-जोल की बात है ये जो मज्लिसी सी हयात है
मुझे इस से कोई ग़रज़ नहीं मुझे दोस्ती की तलाश है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Aag Shayari Shayari