kisi ki aankh mein khud ko talash karna hai
phir us ke b'ad hamein aainon se darna hai
falak ki band gali ke faqeer hain taare
ki ghoom phir ke yahin se unhen guzarna hai
jo zindagi thi meri jaan tere saath gai
bas ab to umr ke naqshe mein waqt bharna hai
jo tum chalo to abhi do qadam mein kat jaaye
jo fasla mujhe sadiyon mein paar karna hai
to kyun na aaj yahin par qayaam ho jaaye
ki shab qareeb hai aakhir kahi theharna hai
vo mera sail-e-talb ho ki teri raanaai
chadha hai jo bhi samundar use utarna hai
sehar hui to sitaaron ne moond leen aankhen
vo kya karein ki jinhen intizaar karna hai
ye khwaab hai ki haqeeqat khabar nahin amjad
magar hai jeena yahin par yahin pe marna hai
किसी की आँख में ख़ुद को तलाश करना है
फिर उस के ब'अद हमें आइनों से डरना है
फ़लक की बंद गली के फ़क़ीर हैं तारे!
कि घूम फिर के यहीं से उन्हें गुज़रना है
जो ज़िंदगी थी मिरी जान! तेरे साथ गई
बस अब तो उम्र के नक़्शे में वक़्त भरना है
जो तुम चलो तो अभी दो क़दम में कट जाए
जो फ़ासला मुझे सदियों में पार करना है
तो क्यूँ न आज यहीं पर क़याम हो जाए
कि शब क़रीब है आख़िर कहीं ठहरना है
वो मेरा सैल-ए-तलब हो कि तेरी रानाई
चढ़ा है जो भी समुंदर उसे उतरना है
सहर हुई तो सितारों ने मूँद लीं आँखें
वो क्या करें कि जिन्हें इंतिज़ार करना है
ये ख़्वाब है कि हक़ीक़त ख़बर नहीं 'अमजद'
मगर है जीना यहीं पर यहीं पे मरना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Chehra Shayari Shayari