aainon mein aks na hon to hairat rahti hai
jaise khaali aankhon mein bhi vehshat rahti hai
har dam duniya ke hangaame ghere rakhte the
jab se tere dhyaan lage hain furqat rahti hai
karne hai to khul ke karo inkaar-e-wafa ki baat
baat adhuri rah jaaye to hasrat rahti hai
shehar-e-sukhan mein aisa kuchh kar izzat ban jaaye
sab kuchh mitti ho jaata hai izzat rahti hai
bante bante dhah jaati hai dil ki har taameer
khwaahish ke bharoop mein shaayad qismat rahti hai
saaye larzate rahte hain shehron ki galiyon mein
rahte the insaan jahaan ab dahshat rahti hai
mausam koi khushboo le kar aate jaate hain
kya kya ham ko raat gaye tak vehshat rahti hai
dhyaan mein mela sa lagta hai beeti yaadon ka
akshar us ke gham se dil ki sohbat rahti hai
phoolon ki takhti par jaise rangon ki tahreer
lauh-e-sukhan par aise amjad shohrat rahti hai
आईनों में अक्स न हों तो हैरत रहती है
जैसे ख़ाली आँखों में भी वहशत रहती है
हर दम दुनिया के हंगामे घेरे रखते थे
जब से तेरे ध्यान लगे हैं फ़ुर्सत रहती है
करनी है तो खुल के करो इंकार-ए-वफ़ा की बात
बात अधूरी रह जाए तो हसरत रहती है
शहर-ए-सुख़न में ऐसा कुछ कर इज़्ज़त बन जाए
सब कुछ मिट्टी हो जाता है इज़्ज़त रहती है
बनते बनते ढह जाती है दिल की हर तामीर
ख़्वाहिश के बहरूप में शायद क़िस्मत रहती है
साए लरज़ते रहते हैं शहरों की गलियों में
रहते थे इंसान जहाँ अब दहशत रहती है
मौसम कोई ख़ुशबू ले कर आते जाते हैं
क्या क्या हम को रात गए तक वहशत रहती है
ध्यान में मेला सा लगता है बीती यादों का
अक्सर उस के ग़म से दिल की सोहबत रहती है
फूलों की तख़्ती पर जैसे रंगों की तहरीर
लौह-ए-सुख़न पर ऐसे 'अमजद' शोहरत रहती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Aadmi Shayari Shayari