nikal ke halka-e-shaam-o-sehr se jaayen kahi | निकल के हल्क़ा-ए-शाम-ओ-सहर से जाएँ कहीं

  - Amjad Islam Amjad

nikal ke halka-e-shaam-o-sehr se jaayen kahi
zameen ke saath na mil jaayen ye khalaayein kahi

safar ki raat hai pichhli kahaaniyaan na kaho
rutoon ke saath palatti hain kab hawaaein kahi

fazaa mein tairte rahte hain naqsh se kya kya
mujhe talash na karti hon ye balaaen kahi

hawa hai tez charagh-e-wafa ka zikr to kya
tanaabein khema-e-jaan ki na toot jaayen kahi

main os ban ke gul-e-harf par chamakta hoon
nikalne waala hai suraj mujhe chhupaayein kahi

mere vujood pe utri hain lafz ki soorat
bhatk rahi theen khalaon mein ye sadaaein kahi

hawa ka lams hai paanv mein bediyo ki tarah
shafaq ki aanch se aankhen pighal na jaayen kahi

ruka hua hai sitaaron ka kaarwaan amjad
charaagh apne lahu se hi ab jalaaen kahi

निकल के हल्क़ा-ए-शाम-ओ-सहर से जाएँ कहीं
ज़मीं के साथ न मिल जाएँ ये ख़लाएँ कहीं

सफ़र की रात है पिछली कहानियाँ न कहो
रुतों के साथ पलटती हैं कब हवाएँ कहीं

फ़ज़ा में तैरते रहते हैं नक़्श से क्या क्या
मुझे तलाश न करती हों ये बलाएँ कहीं

हवा है तेज़ चराग़-ए-वफ़ा का ज़िक्र तो क्या
तनाबें ख़ेमा-ए-जाँ की न टूट जाएँ कहीं

मैं ओस बन के गुल-ए-हर्फ़ पर चमकता हूँ
निकलने वाला है सूरज मुझे छुपाएँ कहीं

मिरे वजूद पे उतरी हैं लफ़्ज़ की सूरत
भटक रही थीं ख़लाओं में ये सदाएँ कहीं

हवा का लम्स है पाँव में बेड़ियों की तरह
शफ़क़ की आँच से आँखें पिघल न जाएँ कहीं

रुका हुआ है सितारों का कारवाँ 'अमजद'
चराग़ अपने लहू से ही अब जलाएँ कहीं

  - Amjad Islam Amjad

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari