ye jo haasil hamein har shay ki faraavani hai | ये जो हासिल हमें हर शय की फ़रावानी है

  - Amjad Islam Amjad

ye jo haasil hamein har shay ki faraavani hai
ye bhi to apni jagah ek pareshaani hai

zindagi ka hi nahin thor-thikaana maaloom
maut to tay hai ki kis waqt kahaan aani hai

koi karta hi nahin zikr wafadari ka
in dinon ishq mein aasaani hi aasaani hai

kab ye socha tha kabhi dost ki yun bhi hoga
teri soorat tiri awaaz se pahchaani hai

chain lene hi nahin deti kisi pal mujh ko
roz-e-awwal se mere saath jo hairaani hai

ye bhi mumkin hai ki aabaadi ho is se aage
ye jo taa-hadd-e-nazar phailti veeraani hai

kyun sitaare hain kahi aur kahi aansu hain
aankh waalon ne yahi ramz nahin jaani hai

takht se takhta bahut door nahin hota hai
bas yahi baat hamein aap ko batlaani hai

dost ki bazm hi vo bazm hai amjad ki jahaan
aql ko saath mein rakhna badi nadaani hai

ये जो हासिल हमें हर शय की फ़रावानी है
ये भी तो अपनी जगह एक परेशानी है

ज़िंदगी का ही नहीं ठोर-ठिकाना मालूम
मौत तो तय है कि किस वक़्त कहाँ आनी है

कोई करता ही नहीं ज़िक्र वफ़ादारी का
इन दिनों इश्क़ में आसानी ही आसानी है

कब ये सोचा था कभी दोस्त कि यूँ भी होगा
तेरी सूरत तिरी आवाज़ से पहचानी है

चैन लेने ही नहीं देती किसी पल मुझ को
रोज़-ए-अव्वल से मिरे साथ जो हैरानी है

ये भी मुमकिन है कि आबादी हो इस से आगे
ये जो ता-हद्द-ए-नज़र फैलती वीरानी है

क्यूँ सितारे हैं कहीं और कहीं आँसू हैं
आँख वालों ने यही रम्ज़ नहीं जानी है

तख़्त से तख़्ता बहुत दूर नहीं होता है
बस यही बात हमें आप को बतलानी है

दोस्त की बज़्म ही वो बज़्म है 'अमजद' कि जहाँ
अक़्ल को साथ में रखना बड़ी नादानी है

  - Amjad Islam Amjad

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari