dooriyaan simatne mein der kuchh to lagti hai
ranjishon ke mitne mein der kuchh to lagti hai
hijr ke dorahe par ek pal na thehra vo
raaste badlne mein der kuchh to lagti hai
aankh se na hatna tum aankh ke jhapakne tak
aankh ke jhapakne mein der kuchh to lagti hai
haadisa bhi hone mein waqt kuchh to leta hai
bakht ke bigarne mein der kuchh to lagti hai
khushk bhi na ho paai roshnai harfon ki
jaan-e-man mukarne mein der kuchh to lagti hai
fard ki nahin hai ye baat hai qabeele ki
gir ke phir sambhalne mein der kuchh to lagti hai
dard ki kahaani ko ishq ke fasaane ko
daastaan banne mein der kuchh to lagti hai
dastaken bhi dene par dar agar na khulta ho
seedhiyaan utarne mein der kuchh to lagti hai
khwaahishein parindon se laakh milti-julti hon
dost par nikalne mein der kuchh to lagti hai
umr-bhar ki mohlat to waqt hai taaruf ka
zindagi samajhne mein der kuchh to lagti hai
rang yun to hote hain baadlon ke andar hi
par dhanak ke banne mein der kuchh to lagti hai
un ki aur phoolon ki ek si ridaaein hain
titliyan pakadne mein der kuchh to lagti hai
zalzale ki soorat mein ishq vaar karta hai
sochne samajhne mein der kuchh to lagti hai
bheed waqt leti hai rehnuma parkhne mein
kaarwaan banne mein der kuchh to lagti hai
ho chaman ke phoolon ka ya kisi paree-vash ka
husn ke sanwarne mein der kuchh to lagti hai
mustaqil nahin amjad ye dhuaan muqaddar ka
lakdiyaan sulagne mein der kuchh to lagti hai
दूरियाँ सिमटने में देर कुछ तो लगती है
रंजिशों के मिटने में देर कुछ तो लगती है
हिज्र के दोराहे पर एक पल न ठहरा वो
रास्ते बदलने में देर कुछ तो लगती है
आँख से न हटना तुम आँख के झपकने तक
आँख के झपकने में देर कुछ तो लगती है
हादिसा भी होने में वक़्त कुछ तो लेता है
बख़्त के बिगड़ने में देर कुछ तो लगती है
ख़ुश्क भी न हो पाई रौशनाई हर्फ़ों की
जान-ए-मन मुकरने में देर कुछ तो लगती है
फ़र्द की नहीं है ये बात है क़बीले की
गिर के फिर सँभलने में देर कुछ तो लगती है
दर्द की कहानी को इश्क़ के फ़साने को
दास्तान बनने में देर कुछ तो लगती है
दस्तकें भी देने पर दर अगर न खुलता हो
सीढ़ियाँ उतरने में देर कुछ तो लगती है
ख़्वाहिशें परिंदों से लाख मिलती-जुलती हों
दोस्त पर निकलने में देर कुछ तो लगती है
उम्र-भर की मोहलत तो वक़्त है तआ'रुफ़ का
ज़िंदगी समझने में देर कुछ तो लगती है
रंग यूँ तो होते हैं बादलों के अंदर ही
पर धनक के बनने में देर कुछ तो लगती है
उन की और फूलों की एक सी रिदाएँ हैं
तितलियाँ पकड़ने में देर कुछ तो लगती है
ज़लज़ले की सूरत में इश्क़ वार करता है
सोचने समझने में देर कुछ तो लगती है
भीड़ वक़्त लेती है रहनुमा परखने में
कारवान बनने में देर कुछ तो लगती है
हो चमन के फूलों का या किसी परी-वश का
हुस्न के सँवरने में देर कुछ तो लगती है
मुस्तक़िल नहीं 'अमजद' ये धुआँ मुक़द्दर का
लकड़ियाँ सुलगने में देर कुछ तो लगती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad
our suggestion based on Amjad Islam Amjad
As you were reading Zindagi Shayari Shayari