taara taara utar rahi hai raat samundar mein | तारा तारा उतर रही है रात समुंदर में - Amjad Islam Amjad

taara taara utar rahi hai raat samundar mein
jaise doobne waalon ke hon haath samundar mein

saahil par to sab ke honge apne apne log
rah jaayegi kashti ki har baat samundar mein

ek nazar dekha tha us ne aage yaad nahin
khul jaati hai dariya ki auqaat samundar mein

main saahil se laut aaya tha kashti chalne par
pighal chuki thi lekin meri zaat samundar mein

kaat raha hoon aise amjad ye hasti ki rah
be-patwaari naav pe jaise raat samundar mein

तारा तारा उतर रही है रात समुंदर में
जैसे डूबने वालों के हों हाथ समुंदर में

साहिल पर तो सब के होंगे अपने अपने लोग
रह जाएगी कश्ती की हर बात समुंदर में

एक नज़र देखा था उस ने आगे याद नहीं
खुल जाती है दरिया की औक़ात समुंदर में

मैं साहिल से लौट आया था कश्ती चलने पर
पिघल चुकी थी लेकिन मेरी ज़ात समुंदर में

काट रहा हूँ ऐसे 'अमजद' ये हस्ती की रह
बे-पतवारी नाव पे जैसे रात समुंदर में

- Amjad Islam Amjad
1 Like

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari