the khwaab ek hamaare bhi aur tumhaare bhi | थे ख़्वाब एक हमारे भी और तुम्हारे भी

  - Amjad Islam Amjad

the khwaab ek hamaare bhi aur tumhaare bhi
par apna khel dikhaate rahe sitaare bhi

ye zindagi hai yahan is tarah hi hota hai
sabhi ne bojh se laade hain kuchh utaare bhi

sawaal ye hai ki aapas mein ham milen kaise
hamesha saath to chalte hain do kinaare bhi

kisi ka apna mohabbat mein kuchh nahin hota
ki mushtarik hain yahan sood bhi khasaare bhi

bigaad par hai jo tanqeed sab baja lekin
tumhaare hisse ke jo kaam the sanwaare bhi

bade sukoon se doobe the doobne waale
jo sahilon pe khade the bahut pukaare bhi

p jaise rail mein do ajnabi musaafir hon
safar mein saath rahe yun to ham tumhaare bhi

yahi sahi tiri marzi samajh na paaye ham
khuda gawaah ki mubham the kuchh ishaare bhi

yahi to ek hawala hai mere hone ka
yahi giraati hai mujh ko yahi utaare bhi

isee zameen mein ik din mujhe bhi sona hai
isee zameen ki amaanat hain mere pyaare bhi

vo ab jo dekh ke pahchaante nahin amjad
hai kal ki baat ye lagte the kuchh hamaare bhi

थे ख़्वाब एक हमारे भी और तुम्हारे भी
पर अपना खेल दिखाते रहे सितारे भी

ये ज़िंदगी है यहाँ इस तरह ही होता है
सभी ने बोझ से लादे हैं कुछ उतारे भी

सवाल ये है कि आपस में हम मिलें कैसे
हमेशा साथ तो चलते हैं दो किनारे भी

किसी का अपना मोहब्बत में कुछ नहीं होता
कि मुश्तरक हैं यहाँ सूद भी ख़सारे भी

बिगाड़ पर है जो तन्क़ीद सब बजा लेकिन
तुम्हारे हिस्से के जो काम थे सँवारे भी

बड़े सुकून से डूबे थे डूबने वाले
जो साहिलों पे खड़े थे बहुत पुकारे भी

प जैसे रेल में दो अजनबी मुसाफ़िर हों
सफ़र में साथ रहे यूँ तो हम तुम्हारे भी

यही सही तिरी मर्ज़ी समझ न पाए हम
ख़ुदा गवाह कि मुबहम थे कुछ इशारे भी

यही तो एक हवाला है मेरे होने का
यही गिराती है मुझ को यही उतारे भी

इसी ज़मीन में इक दिन मुझे भी सोना है
इसी ज़मीं की अमानत हैं मेरे प्यारे भी

वो अब जो देख के पहचानते नहीं 'अमजद'
है कल की बात ये लगते थे कुछ हमारे भी

  - Amjad Islam Amjad

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari