huzoor-e-yaar mein harf iltijaa ke rakhe the | हुज़ूर-ए-यार में हर्फ़ इल्तिजा के रक्खे थे

  - Amjad Islam Amjad

huzoor-e-yaar mein harf iltijaa ke rakhe the
charaagh saamne jaise hawa ke rakhe the

bas ek ashk-e-nadaamat ne saaf kar dale
vo sab hisaab jo ham ne utha ke rakhe the

sumoom-e-waqt ne lehje ko zakham zakham kiya
wagarana ham ne qareene saba ke rakhe the

bikhar rahe the so ham ne utha liye khud hi
gulaab jo tiri khaatir saja ke rakhe the

hawa ke pehle hi jhonke se haar maan gaye
wahi charaagh jo ham ne bacha ke rakhe the

tum hi ne paanv na rakha wagarana vasl ki shab
zameen pe ham ne sitaare bichha ke rakhe the

mita saki na unhen roz o shab ki baarish bhi
dilon pe naqsh jo rang-e-hina ke rakhe the

husool-e-manzil-e-duniya kuchh aisa kaam na tha
magar jo raah mein patthar ana ke rakhe the

हुज़ूर-ए-यार में हर्फ़ इल्तिजा के रक्खे थे
चराग़ सामने जैसे हवा के रक्खे थे

बस एक अश्क-ए-नदामत ने साफ़ कर डाले
वो सब हिसाब जो हम ने उठा के रक्खे थे

सुमूम-ए-वक़्त ने लहजे को ज़ख़्म ज़ख़्म किया
वगरना हम ने क़रीने सबा के रक्खे थे

बिखर रहे थे सो हम ने उठा लिए ख़ुद ही
गुलाब जो तिरी ख़ातिर सजा के रक्खे थे

हवा के पहले ही झोंके से हार मान गए
वही चराग़ जो हम ने बचा के रक्खे थे

तुम ही ने पाँव न रक्खा वगरना वस्ल की शब
ज़मीं पे हम ने सितारे बिछा के रक्खे थे

मिटा सकी न उन्हें रोज़ ओ शब की बारिश भी
दिलों पे नक़्श जो रंग-ए-हिना के रक्खे थे

हुसूल-ए-मंज़िल-ए-दुनिया कुछ ऐसा काम न था
मगर जो राह में पत्थर अना के रक्खे थे

  - Amjad Islam Amjad

Baarish Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Baarish Shayari Shayari