kahaan aa ke rukne the raaste kahaan mod tha use bhool ja | कहाँ आ के रुकने थे रास्ते कहाँ मोड़ था उसे भूल जा

  - Amjad Islam Amjad

kahaan aa ke rukne the raaste kahaan mod tha use bhool ja
vo jo mil gaya use yaad rakh jo nahin mila use bhool ja

vo tire naseeb ki baarishen kisi aur chat pe baras gaeein
dil-e-be-khabar meri baat sun use bhool ja use bhool ja

main to gum tha tere hi dhyaan mein tiri aas tere gumaan mein
saba kah gai mere kaan mein mere saath aa use bhool ja

kisi aankh mein nahin ashk-e-gham tire ba'd kuchh bhi nahin hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskuraa use bhool ja

kahi chaak-e-jaan ka rafu nahin kisi aasteen pe lahu nahin
ki shaheed-e-raah-e-malaal ka nahin khoon-bahaa use bhool ja

kyun atta hua hai ghubaar mein gham-e-zindagi ke fishaar mein
vo jo dard tha tire bakht mein so vo ho gaya use bhool ja

tujhe chaand ban ke mila tha jo tire sahilon pe khila tha jo
vo tha ek dariya visaal ka so utar gaya use bhool ja

कहाँ आ के रुकने थे रास्ते कहाँ मोड़ था उसे भूल जा
वो जो मिल गया उसे याद रख जो नहीं मिला उसे भूल जा

वो तिरे नसीब की बारिशें किसी और छत पे बरस गईं
दिल-ए-बे-ख़बर मिरी बात सुन उसे भूल जा उसे भूल जा

मैं तो गुम था तेरे ही ध्यान में तिरी आस तेरे गुमान में
सबा कह गई मिरे कान में मिरे साथ आ उसे भूल जा

किसी आँख में नहीं अश्क-ए-ग़म तिरे बअ'द कुछ भी नहीं है कम
तुझे ज़िंदगी ने भुला दिया तू भी मुस्कुरा उसे भूल जा

कहीं चाक-ए-जाँ का रफ़ू नहीं किसी आस्तीं पे लहू नहीं
कि शहीद-ए-राह-ए-मलाल का नहीं ख़ूँ-बहा उसे भूल जा

क्यूँ अटा हुआ है ग़ुबार में ग़म-ए-ज़िंदगी के फ़िशार में
वो जो दर्द था तिरे बख़्त में सो वो हो गया उसे भूल जा

तुझे चाँद बन के मिला था जो तिरे साहिलों पे खिला था जो
वो था एक दरिया विसाल का सो उतर गया उसे भूल जा

  - Amjad Islam Amjad

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari