yaad ke sehra mein kuch to zindagi aaye nazar | याद के सहरा में कुछ तो ज़िंदगी आए नज़र - Amjad Islam Amjad

yaad ke sehra mein kuch to zindagi aaye nazar
sochta hoon ab bana luun ret se hi koi ghar

kis qadar yaadein ubhar aayi hain tere naam se
ek patthar feknne se pad gaye kitne bhanwar

waqt ke andhe kuein mein pal rahi hai zindagi
ai mere husn-e-takhayyul baam se neeche utar

tu aseer-e-aabroo-e-sheva-e-pindaar-e-husn
main giraftaar-e-nigaah-e-zindagi-e-mukhtasar

zabt ke qarye mein amjad dekhiye kaise kate
soch ki sooni sadak par yaad ka lamba safar

याद के सहरा में कुछ तो ज़िंदगी आए नज़र
सोचता हूँ अब बना लूँ रेत से ही कोई घर

किस क़दर यादें उभर आई हैं तेरे नाम से
एक पत्थर फेंकने से पड़ गए कितने भँवर

वक़्त के अंधे कुएँ में पल रही है ज़िंदगी
ऐ मिरे हुस्न-ए-तख़य्युल बाम से नीचे उतर

तू असीर-ए-आबरू-ए-शेवा-ए-पिंदार-ए-हुस्न
मैं गिरफ़्तार-ए-निगाह-ए-ज़िंदगी-ए-मुख़्तसर

ज़ब्त के क़र्ये में 'अमजद' देखिए कैसे कटे
सोच की सूनी सड़क पर याद का लम्बा सफ़र

- Amjad Islam Amjad
0 Likes

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Amjad Islam Amjad

As you were reading Shayari by Amjad Islam Amjad

Similar Writers

our suggestion based on Amjad Islam Amjad

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari