teergi taq mein jadi hui hai | तीरगी ताक़ में जड़ी हुई है - Ammar Iqbal

teergi taq mein jadi hui hai
dhoop dahleez par padi hui hai

dil pe naakaamiyon ke hain paivand
aas ki soi bhi gadi hui hai

mere jaisi hai meri parchhaaien
dhoop mein pal ke ye badi hui hai

gher rakha hai na-rasaai ne
aur khwaahish wahin khadi hui hai

main ne tasveer fenk di hai magar
keel deewaar mein gadi hui hai

haarta bhi nahin gham-e-dauraan
zid pe ummeed bhi adi hui hai

dil kisi ke khayal mein hai gum
raat ko khwaab ki padi hui hai

तीरगी ताक़ में जड़ी हुई है
धूप दहलीज़ पर पड़ी हुई है

दिल पे नाकामियों के हैं पैवंद
आस की सोई भी गड़ी हुई है

मेरे जैसी है मेरी परछाईं
धूप में पल के ये बड़ी हुई है

घेर रक्खा है ना-रसाई ने
और ख़्वाहिश वहीं खड़ी हुई है

मैं ने तस्वीर फेंक दी है मगर
कील दीवार में गड़ी हुई है

हारता भी नहीं ग़म-ए-दौराँ
ज़िद पे उम्मीद भी अड़ी हुई है

दिल किसी के ख़याल में है गुम
रात को ख़्वाब की पड़ी हुई है

- Ammar Iqbal
2 Likes

Ujaala Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ammar Iqbal

As you were reading Shayari by Ammar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Ammar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Ujaala Shayari Shayari