khud-parasti se ishq ho gaya hai | ख़ुद-परस्ती से इश्क़ हो गया है

  - Ammar Iqbal

khud-parasti se ishq ho gaya hai
apni hasti se ishq ho gaya hai

jab se dekha hai is fakeerni ko
faqa-masti se ishq ho gaya hai

ek darvesh ko tiri khaatir
saari basti se ishq ho gaya hai

khud tarasha hai jab se but apna
but-parasti se ishq ho gaya hai

ye falak-zaad ki kahaani hai
is ko pasti se ishq ho gaya hai

ख़ुद-परस्ती से इश्क़ हो गया है
अपनी हस्ती से इश्क़ हो गया है

जब से देखा है इस फ़क़ीरनी को
फ़ाक़ा-मस्ती से इश्क़ हो गया है

एक दरवेश को तिरी ख़ातिर
सारी बस्ती से इश्क़ हो गया है

ख़ुद तराशा है जब से बुत अपना
बुत-परस्ती से इश्क़ हो गया है

ये फ़लक-ज़ाद की कहानी है
इस को पस्ती से इश्क़ हो गया है

  - Ammar Iqbal

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ammar Iqbal

As you were reading Shayari by Ammar Iqbal

Similar Writers

our suggestion based on Ammar Iqbal

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari