bhule se bhi lab par sukhun apna nahin aata | भूले से भी लब पर सुख़न अपना नहीं आता

  - Anand Narayan Mulla

bhule se bhi lab par sukhun apna nahin aata
haan haan mujhe duniya mein panpana nahin aata

dil ko sar-e-ulfat bhi hai ruswaai ka dar bhi
us ko abhi is aanch mein tapna nahin aata

ye ashk-e-musalsal hain mahaj ashk-e-musalsal
haan naam tumhaara mujhe japna nahin aata

tum apne kaleje pe zara haath to rakho
kyun ab bhi kahoge ki tadapna nahin aata

may-khaane mein kuchh pee chuke kuchh jaam-b-kaf hain
saaghar nahin aata hai to apna nahin aata

zaahid se khataaon mein to nikloonga na kuchh kam
haan mujh ko khataaon pe panpana nahin aata

bhule the unhin ke liye duniya ko kabhi ham
ab yaad jinhen naam bhi apna nahin aata

dukh jaata hai jab dil to ubal padte hain aansu
mulla ko dikhaane ka tadapna nahin aata

भूले से भी लब पर सुख़न अपना नहीं आता
हाँ हाँ मुझे दुनिया में पनपना नहीं आता

दिल को सर-ए-उल्फ़त भी है रुस्वाई का डर भी
उस को अभी इस आँच में तपना नहीं आता

ये अश्क-ए-मुसलसल हैं महज़ अश्क-ए-मुसलसल
हाँ नाम तुम्हारा मुझे जपना नहीं आता

तुम अपने कलेजे पे ज़रा हाथ तो रक्खो
क्यूँ अब भी कहोगे कि तड़पना नहीं आता

मय-ख़ाने में कुछ पी चुके कुछ जाम-ब-कफ़ हैं
साग़र नहीं आता है तो अपना नहीं आता

ज़ाहिद से ख़ताओं में तो निकलूँगा न कुछ कम
हाँ मुझ को ख़ताओं पे पनपना नहीं आता

भूले थे उन्हीं के लिए दुनिया को कभी हम
अब याद जिन्हें नाम भी अपना नहीं आता

दुख जाता है जब दिल तो उबल पड़ते हैं आँसू
'मुल्ला' को दिखाने का तड़पना नहीं आता

  - Anand Narayan Mulla

Bechaini Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Bechaini Shayari Shayari