hawa na-saazgaar-e-gulsitaan ma'aloom hoti hai | हवा ना-साज़गार-ए-गुल्सिताँ मा'लूम होती है

  - Anand Narayan Mulla

hawa na-saazgaar-e-gulsitaan ma'aloom hoti hai
agar hansati bhi hain kaliyaan fugaan ma'aloom hoti hain

khushi mein apni khush-bakhti kahaan ma'aloom hoti hai
qafas mein ja ke qadr-e-aashiyaan ma'aloom hoti hai

har ik ke zarf ki wusa'at yahan ma'aloom hoti hai
mohabbat aadmi ka imtihaan ma'aloom hoti hai

kabhi shaayad mohabbat ka koi haasil nikal aaye
abhi to raayegaan hi raayegaan ma'aloom hoti hai

ye dil ko kar diya kaisa kisi ki kam-nigaahi ne
zara si faas chubhti hai sinaan ma'aloom hoti hai

khinch aati hain isee saahil pe khud do ajnabi maujen
mohabbat ek jazb-e-be-amaan ma'aloom hoti hai

ufuq hi par abhi tak hain tasavvur ki haseen shaamen
kahi thehri hui umr-e-ravaan ma'aloom hoti hain

tum is haalat ko kya jaano na jaano hi to achha hai
hasi jab aa ke honton par fugaan ma'aloom hoti hai

tiri be-mehriyaan aakhir vo naazuk waqt le aayein
ki apnon ki mohabbat bhi garaan ma'aloom hoti hai

nazar aata nahin shabnam ka girna phool ka khilna
mohabbat ki haqeeqat na-gahaan ma'aloom hoti hai

chaman ka dard hai jis dil mein to chahe kahi utthe
use apni hi shaakh-e-aashiyaan ma'aloom hoti hai

nazar phirti thi vo pehle bhi lekin yun na phirti thi
kuchh ab ki khatm hoti dastaan ma'aloom hoti hai

abhi khaakistar-e-'mulla se uthata hai dhuaan kuchh kuchh
kahi par koi chingaari tapaan ma'aloom hoti hai

हवा ना-साज़गार-ए-गुल्सिताँ मा'लूम होती है
अगर हँसती भी हैं कलियाँ फ़ुग़ाँ मा'लूम होती हैं

ख़ुशी में अपनी ख़ुश-बख़्ती कहाँ मा'लूम होती है
क़फ़स में जा के क़द्र-ए-आशियाँ मा'लूम होती है

हर इक के ज़र्फ़ की वुसअ'त यहाँ मा'लूम होती है
मोहब्बत आदमी का इम्तिहाँ मा'लूम होती है

कभी शायद मोहब्बत का कोई हासिल निकल आए
अभी तो राएगाँ ही राएगाँ मा'लूम होती है

ये दिल को कर दिया कैसा किसी की कम-निगाही ने
ज़रा सी फाँस चुभती है सिनाँ मा'लूम होती है

खिंच आती हैं इसी साहिल पे ख़ुद दो अजनबी मौजें
मोहब्बत एक जज़्ब-ए-बे-अमाँ मा'लूम होती है

उफ़ुक़ ही पर अभी तक हैं तसव्वुर की हसीं शामें
कहीं ठहरी हुई उम्र-ए-रवाँ मा'लूम होती हैं

तुम इस हालत को क्या जानो न जानो ही तो अच्छा है
हँसी जब आ के होंटों पर फ़ुग़ाँ मा'लूम होती है

तिरी बे-मेहरियाँ आख़िर वो नाज़ुक वक़्त ले आएँ
कि अपनों की मोहब्बत भी गराँ मा'लूम होती है

नज़र आता नहीं शबनम का गिरना फूल का खिलना
मोहब्बत की हक़ीक़त ना-गहाँ मा'लूम होती है

चमन का दर्द है जिस दिल में तो चाहे कहीं उट्ठे
उसे अपनी ही शाख़-ए-आशियाँ मा'लूम होती है

नज़र फिरती थी वो पहले भी लेकिन यूँ न फिरती थी
कुछ अब की ख़त्म होती दास्ताँ मा'लूम होती है

अभी ख़ाकिस्तर-ए-'मुल्ला' से उठता है धुआँ कुछ कुछ
कहीं पर कोई चिंगारी तपाँ मा'लूम होती है

  - Anand Narayan Mulla

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari