mohabbat se bhi kaar-e-zindagi aasaan nahin hota | मोहब्बत से भी कार-ए-ज़िंदगी आसाँ नहीं होता

  - Anand Narayan Mulla

mohabbat se bhi kaar-e-zindagi aasaan nahin hota
bahl jaata hai dil gham ka magar darmaan nahin hota

kali dil ki khile afsos ye saamaan nahin hota
ghataaein ghir ke aati hain magar baaraan nahin hota

mohabbat ke evaz mein o mohabbat dhoondhne waale
ye duniya hai yahan aisa are naadaan nahin hota

dil-e-naakaam ik tu hi nahin hai sirf mushkil mein
use inkaar karna bhi to kuchh aasaan nahin hota

hasi mein gham chhupa lena ye sab kehne ki baatein hain
jo gham dar-asl gham hota hai vo pinhaan nahin hota

zamaane ne ye takhti kisht-e-armaan par laga di hai
gul is kyaari mein aata hai magar khandaan nahin hota

kahi kya tum se ham apne dil-e-majboor ka aalam
samajh mein vajh-e-gham aati hai aur darmaan nahin hota

ma'aal-e-ikhtilaaf-e-baahmi afsos kya kahiye
har ik qatre mein shorish hai magar toofaan nahin hota

dayaar-e-ishq hai ye zarf-e-dil ki jaanch hoti hai
yahan poshaak se andaaza-e-insaan nahin hota

ghuroor-e-husn teri be-niyaazi shaan-e-istighnaa
jabhi tak hai ki jab tak ishq be-paayaan nahin hota

sadaa-e-baazgasht aati hai ayyaam-e-guzishta ki
ye dil veeraan ho jaane pe bhi veeraan nahin hota

mohabbat to baja-e-khud ik eemaan hai are mulla
mohabbat karne waale ka koi eemaan nahin hota

मोहब्बत से भी कार-ए-ज़िंदगी आसाँ नहीं होता
बहल जाता है दिल ग़म का मगर दरमाँ नहीं होता

कली दिल की खिले अफ़्सोस ये सामाँ नहीं होता
घटाएँ घिर के आती हैं मगर बाराँ नहीं होता

मोहब्बत के एवज़ में ओ मोहब्बत ढूँडने वाले
ये दुनिया है यहाँ ऐसा अरे नादाँ नहीं होता

दिल-ए-नाकाम इक तू ही नहीं है सिर्फ़ मुश्किल में
उसे इंकार करना भी तो कुछ आसाँ नहीं होता

हँसी में ग़म छुपा लेना ये सब कहने की बातें हैं
जो ग़म दर-अस्ल ग़म होता है वो पिन्हाँ नहीं होता

ज़माने ने ये तख़्ती किश्त-ए-अरमाँ पर लगा दी है
गुल इस क्यारी में आता है मगर ख़ंदाँ नहीं होता

कहीं क्या तुम से हम अपने दिल-ए-मजबूर का आलम
समझ में वज्ह-ए-ग़म आती है और दरमाँ नहीं होता

मआल-ए-इख़्तिलाफ़-ए-बाहमी अफ़्सोस क्या कहिए
हर इक क़तरे में शोरिश है मगर तूफ़ाँ नहीं होता

दयार-ए-इश्क़ है ये ज़र्फ़-ए-दिल की जाँच होती है
यहाँ पोशाक से अंदाज़ा-ए-इंसाँ नहीं होता

ग़ुरूर-ए-हुस्न तेरी बे-नियाज़ी शान-ए-इस्तिग़ना
जभी तक है कि जब तक इश्क़ बे-पायाँ नहीं होता

सदा-ए-बाज़गश्त आती है अय्याम-ए-गुज़िश्ता की
ये दिल वीरान हो जाने पे भी वीराँ नहीं होता

मोहब्बत तो बजा-ए-ख़ुद इक ईमाँ है अरे 'मुल्ला'
मोहब्बत करने वाले का कोई ईमाँ नहीं होता

  - Anand Narayan Mulla

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari