zeest hai ik maasiyat soz-e-dili tere baghair | ज़ीस्त है इक मासियत सोज़-ए-दिली तेरे बग़ैर

  - Anand Narayan Mulla

zeest hai ik maasiyat soz-e-dili tere baghair
haan mohabbat bhi hai ik aaloodagi tere baghair

shaam-e-gham tere tasavvur hi se aankhon mein charaagh
warna mere ghar mein ho aur raushni tere baghair

ye jahaan tanhaa bhala kya mujh ko de paata shikast
main ne kab khaaya fareb-e-dosti tere baghair

raat ke seena mein hai ik zakham jis ka naam chaand
ik sunhari joo-e-khoon hai chaandni tere baghair

har-nafs hai pai-b-pai naakaamiyon ka saamna
zeest hai ik mustaqil sharmindagi tere baghair

de gai dhoka magar shaistagi-e-gham meri
aa raha hai dil pe ilzaam-e-khushi tere baghair

ilm-o-aql-o-naam-o-jaah-o-zor-o-zar sab hech ishq
ho ke sab kuchh bhi nahin kuchh aadmi tere baghair

dil ki shaadaabi ki zaamin hai tu hi ai yaad-e-dost
aa na paai gham ke phoolon mein nami tere baghair

ek ik lamhe mein jab sadiyon ki sadiyaan kat gaeein
aisi kuchh raatein bhi guzri hain meri tere baghair

zindagi mulla ki hai mahjoob naam-e-zindagi
rah gai hai shaay'ri hi shaay'ri tere baghair

ज़ीस्त है इक मासियत सोज़-ए-दिली तेरे बग़ैर
हाँ मोहब्बत भी है इक आलूदगी तेरे बग़ैर

शाम-ए-ग़म तेरे तसव्वुर ही से आँखों में चराग़
वर्ना मेरे घर में हो और रौशनी तेरे बग़ैर

ये जहाँ तन्हा भला क्या मुझ को दे पाता शिकस्त
मैं ने कब खाया फ़रेब-ए-दोस्ती तेरे बग़ैर

रात के सीना में है इक ज़ख़्म जिस का नाम चाँद
इक सुनहरी जू-ए-ख़ूँ है चाँदनी तेरे बग़ैर

हर-नफ़स है पै-ब-पै नाकामियों का सामना
ज़ीस्त है इक मुस्तक़िल शर्मिंदगी तेरे बग़ैर

दे गई धोका मगर शाइस्तगी-ए-ग़म मिरी
आ रहा है दिल पे इल्ज़ाम-ए-ख़ुशी तेरे बग़ैर

इल्म-ओ-अक़्ल-ओ-नाम-ओ-जाह-ओ-ज़ोर-ओ-ज़र सब हेच इश्क़
हो के सब कुछ भी नहीं कुछ आदमी तेरे बग़ैर

दिल की शादाबी की ज़ामिन है तू ही ऐ याद-ए-दोस्त
आ न पाई ग़म के फूलों में नमी तेरे बग़ैर

एक इक लम्हे में जब सदियों की सदियाँ कट गईं
ऐसी कुछ रातें भी गुज़री हैं मिरी तेरे बग़ैर

ज़िंदगी 'मुल्ला' की है महजूब नाम-ए-ज़िंदगी
रह गई है शाइ'री ही शाइ'री तेरे बग़ैर

  - Anand Narayan Mulla

Shama Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Anand Narayan Mulla

As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla

Similar Writers

our suggestion based on Anand Narayan Mulla

Similar Moods

As you were reading Shama Shayari Shayari