zindagi go kushta-e-aalaam hai
phir bhi raahat ki ummeed-e-khaam hai
haan abhi teri mohabbat khaam hai
tere dil mein kaavish-e-anjaam hai
ishq hai main hoon dil-e-naakaam hai
is ke aage bas khuda ka naam hai
aa kahaan hai tu fareb-e-aarzoo
aaj naakaami se lena kaam hai
main wahi hoon dil wahi armaan wahi
ek dhoka gardish-e-ayyaam hai
apne jee mein ye ki duniya chhod den
aur duniya ko humeen se kaam hai
jal chuke chashm-e-aizzah mein charaagh
so bhi ja mulla ki waqt-e-shaam hai
ज़िंदगी गो कुश्ता-ए-आलाम है
फिर भी राहत की उम्मीद-ए-ख़ाम है
हाँ अभी तेरी मोहब्बत ख़ाम है
तेरे दिल में काविश-ए-अंजाम है
इश्क़ है मैं हूँ दिल-ए-नाकाम है
इस के आगे बस ख़ुदा का नाम है
आ कहाँ है तू फ़रेब-ए-आरज़ू
आज नाकामी से लेना काम है
मैं वही हूँ दिल वही अरमाँ वही
एक धोका गर्दिश-ए-अय्याम है
अपने जी में ये कि दुनिया छोड़ दें
और दुनिया को हमीं से काम है
जल चुके चश्म-ए-अइज़्ज़ा में चराग़
सो भी जा 'मुल्ला' कि वक़्त-ए-शाम है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Anand Narayan Mulla
our suggestion based on Anand Narayan Mulla
As you were reading Duniya Shayari Shayari